TARAWIH KE MASLE PAR GHAER MUQALLIDEEN KA DHOKA AUR UNKI 8 RAKAAT TARAWEEH KI EK DALEEL KA JAAYEZA

SHAHZADI-E-ISLAM

A NON PROFITABLE ORGANISTION WHICH BELONGS TO SUNNI SAHI UL AQEEDA, MASLAK E AHLE SUNNAT WA JAMAAT (MASLAK E AALA HAZRAT) OUR AIM TO PROVIDE AND SPREAD AUTHENTIC AND TRUE BELIEF'S OF AHLE SUNNAH AND TO BOYCOTT AHLE WAHABI'S, DEOBANDI AND OTHER FALSE BELIEVER'S..

TARAWIH KE MASLE PAR GHAER MUQALLIDEEN KA DHOKA AUR UNKI 8 RAKAAT TARAWEEH KI EK DALEEL KA JAAYEZA

Part.........1

"MAUTTA IMAM MALIK ke hawale se ek riwayat pesh ki jaati haie ke.. hazrate Umar faruq radiallahuanhu ne uba,ee ibne kaab aur tamim daari radiallahuanhuajmain

Ko 11rakat padhane ka hukm diya." (Mautta imam malik.) JAWAB NO 1....... Yaha Chand Umur Qabile Gaur hai... Amre Awwal.. Hazrate Umar radiallahuanhu ke zamane ki Taraaweeh ke Naaqil(naql karne wale) ye Raavi hai... 1.. As Saaib Bin Yazeed ....Tafseel Aage. Insha ALLAHA. 2.. YAZEED BIN ROOMAAN se 23rakat Ma'al witr marvi hai.. Muatta Imam Malik me. 3.. ABDUL AZIZ BIN RAFEEA se 20 Rakat marvi hai.. Musannaf Ibne Abi Shaybah me. 4.. UBAYY BIN KA,AB se 20 marvi hai Musnad Ahmad Bin Muneea me. 5.. YAHYA BIN SAEED se 20 Marvi hai Musannaf Ibne Abi Shaybah me. 6.. MOHAMMED BIN KA,AB QURAZI se 20 marvi hai.. Qiyamullayl Lil Murowzi me. 7.. Hz HASAN BASRI se bhi 20 Marvi hai Sunan Abu Dawud.. aur Siyyar Aa'laamunnubalaa me. Ye tamam Ruwaat Bees rakat Taraaveeh hi rivayat karte hai, Rahe SAAIB BIN YAZEED to unki riwayat ki tafseel Darje zail hai: Saaib Bin Yazeed ke Teen Shagird (unse naql karne wale) hai.. 1.. YAZEED BIN KHUSAIFAH unse 20 naql karte hai.. As Sunan Al Kubra me. 2.. HAARIS BIN ABDURRAHMAN unse 23 Ma'al witr naql karte hai Musannaf Abdurrazzaaq me 3.. MOHAMMED BIN YUSUF inse naql karne me iztirab karte hai...Tafseel aage haie. Insha ALLAHA Is Tafseel Se malum hua ke Saaib Bin Yazeed ke teen Shagirdo me se Yazeed Bin Khusaifah Bees Aur Haris Bin Abdurrahmaan abi za'b tayees 23 (ma'al witr) naql karte hai, Albatta Muhammad Bin Yusuf ne do baato me ikhtilaf kiya hai. 1.. Yazeed bin Khusaifah aur Haaris Bin Abi Za'b Qaariyo ki taadaad nahi batate lekin Muhammad Bin Yusuf ne batai hai ke do the...Ubayy Bin Ka'b aur Tameem Daari. 2.. Awwaluzzikr do raavi Taraaweeh Bees hi naql karte hai lekin isne taraveeh ki taadaad gyarah, terah aur ekkees naql ki hai... Muhammad Bin Yusuf ke Shagirdo ki tafseel kuch yu hai... 1.. IMAM MALIK ne 11 naql ki hai.. Muatta imam malik me. 2.. YAHYA BIN SAEED ALQATTAAN ne 11 naql ki hai.. musannaf Ibne Abi Shaybah me. 3.. ABDUL AZIZ BIN MOHAMMED ADDARAAVARDEE ne 11 naql ki hai.. Saeed Bin Abi Mansur me. 4.. MOHAMMED BIN ISHAAQ ne 13 Naql ki hai.. Qiyamullayl Lil Murowzi me. 5.. DAWOOD BIN QAIES wagerah ne 21 Naql ki hai.. Musannaf Abdurrazzaq me. Isse wazeh hota hai ke MOHAMMED BIN YUSUF ke paancho shagirdo ke bayanaat Adado Kayfiyat ke lihaaz se baaham mukhtalif hai... 1.. Pehle teen shagird gyarah(11) naql karte hai aur Muhammad Bin Ishaaq terah(13).. Jabke Panchwa shagird Dawud Bin Qais ekkees(21) rakaat naql karta hai. 2.. Imam Malik ki rivayat me 11 rakat padhane ka hukm hai amal ka zikr nahi -Yahya Alqattaan ki rivayat me Hukm ka zikr Nahi. -Abdul Azeez bin Muhammad ki rivayat me 11 rakat to hai lekin na hukm hai aur na Ubayy Bin Ka'b aur Tameem Daari ka zikr hai. -Muhammad Bin Ishaaq ki rivayat me terah rakat ka zikr hai lekin na hukm hai aur na Ubayyo Tameem ka zikr -Aur Dawud Bin Qais ki rivayat me hukm to hai lekin gyarah ki bajaye Ekkees ka zikr hai. Khulasah ye ke Muhamamd Bin Yusuf ki ye rivayat Shadeed MUZTARIB hai... kisi ke samne kuch tadaad batate hain kisi ke samne kuch tadad batate h.. Kisi ko batate waqt hukm ka zikr karte hain kisi ko nahi karte.. kisi ko bayan karte waqt padhane walo ka zikr karte hain.. kisi ko nahi karte..

Pas ye HADIS SHADID MUZTARIB hai.. Aur IZTIRAAB FIL MATAN wajahe ZOAF hota hai... (Yani Zoaf ki waje hota hai)

Chunanche USOOLE HADIS ki mashur o maqbul kitab me ye usul mazkur hai... "WAL IZTIRAABU YUJIBU ZOAFUL HADIS" "Iztiraab riwayat ko zaeef bana deta hai" Taqreebun Nawwi Ma' Sharah Tadreeb..safa..234. LIHAZA HE HADIS ZAEEF HAI... Agar Bilfarz is rivayat me iztirab naa.bhi hota tab bhi Usule Hadees ki roo se SHAAZ hone ki wajah se naa qabile qabul thi....kyu ke Muhammad Bin Yusuf ki rivayat 2 Siqah raviyo ke khilaf hoti...khair yaha khud wo iztirab karliye hai. Jawab 2..

IMAM MALIK Rehemumulla ka Apna Amal iske khilaf hai q k wo bees (20)rakaat ke qail haie.. ALLAMA IBNE RUSHD MALKI.. likhte hai, "Imam Malik rahemumulla ne apne ek qaul me bees rakat ko ikhtiyar farmaya hai." Bidayatul Mujtahid Jild:1..safa..214. aur usule hadis ka qaidah hai raavi ka amal agar apni riwayat ke khikaf ho to is ki baat ki daleel hai..uski rivayat saqit hai... Al Minaar safa..190. Lihaza ye Rivayat Saqitul Amal hai. Alhamdulillah hamne ghaer muqallid ki ek dalil ko USOOLE HADIS ke qayede ke mutabik ZAEEF sabit kardiya....

Ab iske baad gyer muqallid wahabi is hadis ko apne liye 8 rakaat par dalil banane ke liye kuch bhi bayan karega..

TO YAKINAN WO APNI LUTI HUI IZZAT BACHANE KI KOSHISH KAREGA." ALLAHA SE YE DUAA HAIE KE HAME HADIS KI SAHI MARFAT KE SAAT HADIS PAR AMAL KARNE KIi TAUFIQ ATA FARMAYE.. aamin. Aage ham ghaer muqallido ki dusri dalil ka jayeza lege..jisko bataur dalil wo apne liye 8 rakaat tarawih par pesh karte h... Insha ALLAH. Continue......


Comments

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi