ANGHUTHE CHUMNE

SHAHZADI-E-ISLAM


[ ANGHUTHE CHUMNE ]

*[ ANGHUTHE CHUMNE KA MASLA ]*

☛ HOZOOR POOR NOOR SHAFI E YAWM E MEHSAAR ﷺ Ka Naam E  paak Aazan Me  Sunne K Waqt Anghuthe Ya Shahadat Ki Unghli Chum Kar Aañkhoñ Se Lagana Qat'an Jaiz Aur Mustahab Aur Bahot Hi Rahmat O Barkat Ka Sabab Hai Is K Jaiz Hone Par Bahot Se Dalail Maujood Hai Aur Mana ( Inkar ) Karne Par Koi Dalil Maujood Nahi Chand Dalail Is Kitaab Padhne Wale ko Diye Jaate Hai❕

☛ ( 1 )  Fazil E Jalil Al Alamatul Kaamil Assaikh Ismail Haqqi رحمة الله عليه Apni Shahrah Aafaq Tafseer Ruhul Bayan Me Farmate Hai !!!

➡ Qasaaul Ambiya  Wagairah Kutub Me Hai K Jab Hazrat Aadam عليه السلام  Ko Jannat Me Hazrat MOHAMMAD ﷺ Ki Mulaqat Ka Shoq Huwa To ALLAH Ta'ala Ne Unki Taraf Wahi Bheji  K Woh Tumhare Sulb  ( Aulad ) Se Aakhir Zamane Me Zuhoor Farmayenge To Hazrat Aadam عليه السلام Ne Aapki Mulaqat Ka Sawal Kiya To ALLAH TA'ALA Ne Hazrat Aadam عليه السلام K Dañyen Haath K Kalme Ki Unghli Me Noor E MOHAMMAD ﷺ Chamkaya To Is Noor Ne ALLAH Ki Tasbih Padhi , Isi Waste Is Ungli Ka Naam Kalme Ki Ungli Huwa Jaisa K "Rauzul Faiq " Me Hai Aur ALLAH TA'ALA Ne Apne Habeeb K Jamal E Mohammadi ﷺ Ko Hazrat Aadam عليه السلام K Dono Anghutho K  Nakhuno Me Aaina Ki Tarah Zahir Farmaya Hazrat Aadam عليه السلام Ne Apne Anghutho K Nakhuno Ko Chum Kar Aañkho Par Fera.
Pas Ye Sunnat Inki Aulad  Me Jaari Huwi Fir Jab Jibrail E Ameen Ne Nabi E Kareem ﷺ Ko Iski Khabar Di To Aapne Farmaya Jo Shakhs Aazan Me Mera Naam Sune Aur  Apne Anghutho  K Nakhuno Ko Chum Kar Aankho Se Lagaye Wo Kabhi Andha Nahi Hoga !
*《 Ruhul Bayan Safa ; 649》*

☛ ( 2 )  Isi Tafseer Ruhul Bayan Me Hai K Muheet Me Laya Hai : -  

➡ Paighambar ﷺ Tasreef Laye Aur Ek Sutoon K Qareeb Baith Gaye Hazrat E Abu Bakr Siddique رضى الله تعالى عنه Bhi Ap K Barabar Baithe The Hazrat Bilaal رضى الله تعالى عنه Ne Uth Kar Aazan Dena Shuru Ki Jab Unhone

  اشهد انّ محمّدا رسول الله

Kaha Hazrat E Abubakr
Siddique رضى الله تعالى عنه Ne Apne Dono Anghutho K Nakhuno Ko Apni Dono Aañkho Par Rakha Aur Kaha YA RASOOLALLAH ﷺ Aap ( K Naam ) Se Meri Aañkheñ Thandi Hai Jab Hazrat Bilaal رضى الله عنه  Aazan De chuke To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Abu bakr Jo Shakhs Aisa Kare Jaisa K Tumne Kiya Hai Khuda E Ta'ala Uske Tamam Gunahoñ K Bakhs Dega ! 
*《 Tafseer Ruhul Bayan 》*

☛ ( 3 )  Aur Hazrat Shaikh Imaam Mohammad Bin Ali Al makki , { ALLAH TA'ALA Inke Darajat Buland Kare'} Apni Kitaab Kuwwatul Quloob Me Ibne Auaina  رحمة الله عليه Se Riwayat Farmate Hai K HUZOOR ﷺ Namaz E Juma Ada Karne K Liye Moharram Ki 10 wi Tareekh Ko Masjid Me Tashreef Laye Aur Ek Sutoon K Qareeb Baith Gaye Hazrat Abu'bakr رضى الله عنه Ne Aazan Me HUZOOR ﷺ Ka Naam Sun Kar Apne Dono Anghutho K Nakhuno Ko Apni Aañkho Par Fera  Aur Kaha

قرّة عينى بك يا رسول الله

( Ya RASOOLALLAH ﷺ Aap Ka Naam Meri Aañkho Ki Thandak Hai)

Jab Hazrat Bilaal رضى الله عنه Aazan Se Farigh Ho Gaye , HUZOOR ﷺ Ne Farmaya Aye Abu,bakr Jo Shakhs Tumhari Tarah Mera Naam Sun Kar Anghuthe Aañkho Par Fere Aur Jo Tumne Kaha Wo Kahe KHUDA E TABARAK WA TA'ALA Uske Tamam Naye Wa Poorane Zahir Wa Batin Gunahoñ Se Dar'Guzar Farmayega !

*《 Ruhul Bayan Safa  648  》*

☛ ( 4 ) Allamah Imam Shamshuddin Bukhari رحمة الله عليه  Delmi K Hawale Se Nakal Farmate Hai K Hazrat E Abu,Bakr Siddique رضى الله عنه Ne , Jo Mo'azzin Ko.

اشهد انّ محمّدٌ رّسول الله

Kahte Suna To Yahi Kaha Aur Apni Anghustan E Shahadat ( Shahadat Ki Ungli ) K pore Janib E Zeriñ Se Chum Kar Aañkho Se Lagaya To HUZOOR ﷺ Ne Farmaya Jo Shakhs Mere Is Pyare Dost Ki Tarah Karega Meri Shafa'at Iske liye Halaal Ho Gayi !

*《 Al maqasidul Hasanah Fil Ahadisul dairah Alassunnah   》*

☛ ( 5 ) Yahi Imaam Bukhari Hazrat E Abul Abbas Ahmad Bin Abi'Bakr ArrRaddud Dalmani Ki Kitab  "Mo'jinbati Al Rahmah Wa Azaimul maghfirah "
Se Nakl Farmate Hai K Hazrat E Khizr عليه السلام  Ne Farmaya,

➡Jo Shakhs Mo'azzin Se     

اشهد انّ محمّدٌ رّسول الله

                                          Sun Kar Kahe.
             "Marhaban "Bi'Habibi Wa Qurratu Ayni"

Muhammad Bin Abdillah ﷺ Fir Anghuthe Chum Kar Aañkho Par Rakhe Iski Aañkhe Kabhi Na Dukhegi !

*《 Al maqasidul Hasanah   》*

☛ ( 6 ) Yahi Imaam Bukhari Faqeeh Mohammad Bin Sa'id Khulani رحمة الله عليه Se Riwayat Karte Hai K   Hazrat Sayyadana Imaam رضي الله عنه Ne Farmaya, 
➡Jo Shakhs Mo'azzin Se

اشهد انّ محمّدٌ رّسول الله

Sun Kar Kahe 
"Marhaban "Bi'Habibi Wa Qurratu Ayni"

Muhammad Bin Abdillah ﷺ Fir Dono Anghuthe Chum Kar Aañkho Par Rakhe Iski Aañkhe Kabhi Na Dukhegi !

*《 Al maqasidul Hasanah   》*

☛ ( 7 ) Yahi Imaam Bukhari , Shamsud din  Imaam Mohammad Bin Saleh Madani Ki Tarikh Se Nakal Farmate Hai  K Unhone Farmaya  
Maine  Hazrat Majd Misri Ko ( Jo Kaamileen  Saliheen Me Se The ) Farmate Suna Hai K.

➡ Jo Shakhs Nabi E Kareem ﷺ Ka Zikre Paak Aazan Me Sunkar Darood Bheje Aur Kalma Ki Unghliya Aur Anghuthe   Mila Inko Bosa de ( Chume ) Aur Aañkho Par Fere Iski Aañkhe  Kabhi Na Dukhegi !    

*《 Al maqasidul Hasanah   》*

☛ ( 8 ) Yahi Imaam Bukhari , Unhi Imaam Mohammad Bin Saleh Ki  Tarikh Se Nakal Farmate Hai  K Unhone Farmaya  Iraaq K Bahot Se Mashaikh Se Marwi Huwa Hai K.

➡ Jab Anghuthe Chum Kar Aañkho Par Phere To Ye Darood Shareef Padhe..

صَلَّى الله عَلَيْكَ يَا سَيَّدِى يَا رَسُوْلَ اللهِ 
يَا حَبِيْبَ قَلْبِىْ 
يَا نُوْر بَصَرِىْ 
يَا قُرَّةُ عَيْنِيْ
انشاءالله.

Kabhi Aañkhe Na Dukhegi Aur Ye Mujarrab Hai Is K  Baad Imaam Mazkoor Farmate Haiñ Jab Se Maine Suna Hai Ye Mubarak Amal Karta Hu Aaj Tak Meri Aañkhe Na dukhi Hai Aur Na انشاء الله Dukhegi !

*《 Al maqasidul Hasanah   》*

☛ ( 9 ) Yahi Imaam Bukhari ,  Imaam Taa'us Se Nakal Farmate Hai K Unhone Shamshuddin  Mohammad Bin Abi Nasr Bukhari Khawaja E Hadees Se Ye HAdees Mubarak Suni Farmaya

➡ Jo Shakhs Mu'azzin Se Kalma E Shahadat Sun Kar Anghuthe Ka Nakhoon  Chume  Aur  Aañkho Par Phere Aur  Ye Padhe ,

اللَّهُمَّ احْفَظْ حَدَقَتىَّ وَنُوْرَ هُمَا بِبَرَكَةِ حَدَقَتَىْ : مُحَمَدٌ رَّسُوْلَ اللهِ ﷺ يَا نُوْرِهِمَا

Wo Kabhi Andha Na Hoga !

*《 Al maqasidul Hasanah   》*

☛ ( 10 ) *Sharah Naqaya Me Hai*

➡ Jan Lo K Beshak Aazan Ki Pahli Shahadat K Sunne Par.

صَلَّى الله عَلَيْكَ  يَا رَسُوْلَ اللهِ

Aur Dusri Shahadat K Sunne Par .

قُرَّةُ عَيْنِيْ بِكَ يَارَسُوْلَ الله

Kahna Mustahab Hai 
Fir Apne Aañkho K Nakhun ( Chum kar ) Apni Aañkho Par Rakhe Aur Kahe"   

            اللَّهُمَّ مَتِّعْنِىْ بِسَّمْعِ وِالْبَصَرْ

To Huzoor ﷺ Aisa Karne Wale Ko Apne Piche Piche Jannat Me Le Jayenge !

☛ ( 11 ) *Allamah Shami رحمةالله تعالى عليه Raddul Muhtaar Sharah Durre Mukhtaar  Me Yahi Ibarat Likh Kar Farmate Haiñ*
Aisa hi Kanzul Ibaad  Imaam Kahastaani Me Aur Isi Ki Misl Fatawa Sufiya Me Hai Aur Kitabul Firdaus Me Hai  K.

➡ Jo Shakhs Aazan Me.

اشهد انّ محمّدٌ رّسول اللهﷺ

Sun Kar Apne Añghutho K Nakhuno Ko Chume ( Is K Mutallik HUZOOR ﷺ Ka Farman Hai K ) Mai Us Ka Qa'id Banuñga Aur Is Ko Jannat Ki Safoñ Me Dakhil Karuñga  Is Ki Poori Bahas Bahrurra'q K Hawashi E Ramali Me Hai

☛ ( 12 ) *Raisul Fuqaha E Hanfiya Allamah Tahtaawi رحمةالله تعالى عليه  Sharah  Maraaqil Falah Me Yahi Ibarat Aur Delmi Ki Hazrat E ABU BAKR SIDDIQUE رضى الله تعالى عنه  Wali Marfu Hadees Nakal Kar K  Farmate Haiñ*

➡ Aur Hazrat E Khizr عليه السّلام Se Bhi Riwayat Kiya Gaya Hai Aur Fazail E Aamal Me In Hadees Par Amal Kiya Jata Hai !

*《 Al Tahtawi Al Maraaqil Falah, Safa 110 》*

☛ ( 13 ) *Allamah Imaam Kahtsani Sarhul Kabeer Me Kanzul Ibaad Se Nakal Farmate Haiñ*

➡ Jan Lo Bila Subah  Aazan Ki Pahli Shahadat K Sunne Par .

صَلَّى الله عَلَيْكَ  يَا رَسُوْلَ اللهِ

Aur Dusri Shahadat K Sunne Par .

قُرَّةُ عَيْنِيْ بِكَ يَارَسُوْلَ الله

Kahna Mustahab Hai 
Fir Apne Añghutho K Nakhun ( Chum kar ) Apni Aañkho Par Rakhe Aur Kahe.

اللَّهُمَّ مَتِّعْنِىْ بِسَّمْع ِِ وَالْبَصَرْ

To HUZOOR Aisa Karne Wale Ko Apne Piche Piche Jannat Me Le Jayeñge !

☛ ( 14  ) *Shafa'i Mazhab  MashHoor Kitaab*

*اعانتہ الطالبین عَلیٰ حد الفاظ فتح العین*

K Safa 248  Aur Malliki Mazhab Ki MashHoor Kitab Aur .

☛ ( 15 )

  *كفایة الطالب الرّبانى لرسالة  ابن ابى  زيدالقير  و انى*
  

K safa 169 Par Hai Ki 
  
       Jab Aazan Me HUZOOR E PAAp Ka  Naam    E Paak Sune To Darood Shareef Padh

Fir  Anghuthe Chume Aur Inko Aañkho Par Rakhe To Na Kabhi Andha Hoga Na Kabhi Aañkhe Dukhegi !

☛ ( 16 ) *Shaikhul Mashaikh Rai'sul Muhaqqiqeen Sayyadul Aulama E Ahnafiyah Ba Makkatul Mukarramah Maulana Jamal Bin Abdullah Bin Umar Makki رحمة الله عليه Apne Fatawa Me Farmate Haiñ K*

➡ Mujhse Sawal Huwa K Aazan Me HUZOOR ﷺ K Naam E Mubarak K Zikr K Waqt Añghuthe Chumna Aur Aañkho Pe Rakhna Jaiz Hai Ya Nahi ?

Maine In Lafzoñ Se Jawab Diya K Haañ Aazan Me  HUZOOR E AQDAS  ﷺ  Ka Naam E Mubarak Sun Kar Añghuthe Chumna Aur Aañkho Par Rakhna Jaiz Balke Mustahab Hai Hamare Mashaikhe Mazhab Ne Is K Mustahab Hone Ki Tasreeh Farmayi Hai  !

*《 Muneerul Ain Fee Hukme Taqbeelul Abhameen Safa 4 》*

☛ ( 17  ) *Shaikhul Aalamul Mafarul Allamah Nuruddeen Khusrani   رحمة الله عليه  Farmate Haiñ K*

➡ HUZOOR ﷺ Ka Naam E Mubarak Aazan Me Sun Kar Añghuthe Chuma Karta Tha Fir Chod Diya, To Meri Aañkhe Bimaar Ho Gayi To Maine HUZOOR E AQDAS  ﷺ  KO Khwab Me Dekha - Farmaya Tune Aazan K Waqt  Añghuthe Chum Kar  Aañkho Se Lagana Kiu Chod Diya ? Agar Tu Chahta Hai Ki Teri Aañkhe Durust Ho Jayeñ To Woh Amal Fir Shuru Kar De , Pas Mai Bedar Huwa  Aur Ye Amal Shuru  Kar Diya To Meri Aañkhe Durust Ho Gayi Aur Iske Ba'ad Ab Tak Ye Marz Nahi Lota !

*《 Fil Aqamah  Safa 4 》*

☛ ( 18  ) *Hazrat E Wahab Bin Munabba رضى الله تعالى عنه Farmate Haiñ K*
➡  Bani Israa'il Me Ek Shakhs Tha Jis Ne 200 Saal ALLAH TA'ALA Ki Na Farmani Me Guzaare The  Jab Woh Margaya To Logo Ne Isko *Mazbula* ( Jaha Par Najasat Wagairah Dali Jaati Hai ) Me Feñk Diya To ALLAH TA'ALA Ne MOOSA عليه السلام Ko Wahi Ki K Isko Waha Se Uthao Aur Is Par Namaz Padho - MOOSA عليه السلام Ne Arz Ki Aye Mere Parwardighar ! Bani Israa'il Is K Na Farman Hone Ki Shahadat Dete Haiñ - Irshad Huwa Ye Thik Hai !! Magar Iski Aadat Thi K Jab Woh Taurat ( Aasmani Kitab )Ko Kholta  Aur Hazrat *MOHAMMAD*   ﷺ K Naam Paak Ko Dekhta To Is Naam Ko Chum Kar Aañkho Se Laga Leta Aur Darood Bhejta - Pas Maine Is Ko Maana Aur Iske Gunahoñ Ko Bakhs Diya Aur Sattar ( 70 ) Hureyñ Isko Nikah Me Di !

*《 Hulyatul Auliya Abu Naim  Safa 34 / 4 Wa Siratul Halbiyah Safa 85 / 1 》*

☛ ( 19  ) *Sayyadul Aarefeen Hazrat Maulana Room   رحمة الله تعالى عليه Farmate Haiñ*

➡ ( 1 )Buwad Dar Injeel Naam E *Mustafa*, ﷺ

Aañ Sare Payghambarañ Bahre Safa,

{ Injeel Me *Mohammad Mustasa* ﷺ Ka Naam E Mubarak Darj ( Likha Huwa ) Tha 

Woh *Mustafa* ﷺJo Paighambaroñ K Sardar Aur Bahre Safa Haiñ } 

( 2 ) Buwad Zikre Huliyaha Wa Shakle Uñ 

Buwad Zikre Gazwa  Sawm Wa Akle Uñ 

{ Aur Aapke Ausaf E Jismaniya Shakl O Samaail , ( Shaklo Tabaasum ) Jihad Karne Roza Rakhne Aur Khane Peen E Ka Haal Bi Darj Tha }

( 3 ) Taaifa Nasraniyañ Bahre Sawab ,

Chun Raseedande Badañ Naamo Khitab ,

Bosa Dadande Badan Naam E Shareef ,

Runaha Dande Badañ Wasfe Lateef ,

{ Isaaiyoñ Ki Ek Jama'at Jab Is Naam E Paak Aur Khitab E Mubarak Par Pahoñchi To Woh Log Sawab Ki Garaz Se Ye Achaai Karte K Is Naam E Shareef Ko Bosa Dete Aur Is Zikre Mubarak Par Tazeem Ki Garaz Se Muh Rakh Dete }

➡ ( 4 ) Nasile Esha Neez Ham Bayaar Shud ,

Noor E *AHMAD* ﷺ Aamad Yaar Shud ,

{ ( Is Tazeem Ki Badolat ) Inki Nasl Bahot Badh Gayi Aur Hazrat *AHMAD* ﷺ Ka Noor E Mubarak ( Har Ma'amla Me ) Unka Madadgar Aur Saathi Ban Gaya } 

( 5 ) Waañ Girohe Digar Az Nasraniya ,

Naam E *AHMAD* ﷺ Dastande Mustahañ , 

{ Aur Un Nasraniyoñ Ka Dusra Giroh Hazrat  *AHMAD* ﷺ Ke Naam E Mubark Ki Be Qadri Kiya Karta Tha } 

 

( 6 ) Mustahañ Khware Ghastand Aañ Fareeq , 

Ghasta Mahroome Az Khud wa Sharte Tareeq , 

{ Wo Log Zaleel O Khwar Ho Gaye Apni Hasti Se Bhi Mahroom Ho Gaye ( K Qatl Kiye Gaye ) Aur Mazhab Se Bhi Mahroom Ho Gaye Yani Aqai'd Kharab Ho Gaye }

➡ ( 7 )  Naam E *AHMAD* ﷺ Chuñ Chuniñ  Yaari Kunad , 

Taa ke Noorash Chuñ Madadgari Kunad , 

{ Jab Hazrat *AHMAD*  ﷺ Ka Naam E Mubarak Aisi Madad Karta Hai To Khayal Karo K Aap Ka Noor E Paak Kis Qadr Madad Kar Sakta Hai }

( 8 ) Naam e *AHMAD* ﷺ Chuñ Hisaar E Shud Haseen , 

Taa Che Basad Zaat Aañ Ruhul Ameen , 

{ Jab Hazrat *MOHAMMAD* ﷺ Ka Naam E Mubarak Hi Hifazat K Liye Majboot Qal'aa Hai To Us Ruhul Ameen ﷺ Ki Zaat Mubarak Kaisi Hogi !

*《 masnawi Shareef Daftar Awwal 》*

☛ ( 19  ) *Shuba* ( Shak )
*Sawal* : -  Ba'az Log Ye Kahte Haiñ K Tamam Ahadees Za'if Haiñ In Me Ek Bhi Saheeh Marfoo Hadees Nahi Hai Chunañche Muhaddiseen Ne In Ahadees Ko Likh Kar Farmaya  لا يصح فى المرفوع Lihaza Ahadees E Za'ifa Se Kis Tarah Ek Shara'i Masla Sabit Ho Sakta Hai ?

➡ *JAWAB* : - Is K Ta'alluq Se Sirf Itna Arz Kar Dena Kafi Hai K Muhaddiseen E Kiraam Ka Kisi Hadees K Baare Me Farmana K *'Saheeh Nahi '*Is K Ye Ma'ana Nahi Hote K Hadees Bilkul Galat Wa Batil Hai Balke Iska Matlab Ye Hota Hai K Ye Hadees Shehat K Is Aala Darja Ko Na pahoñchi Jise Mohaddiseen Apni Istelah Me Darja E Sahat Kahte Haiñ - Ya Dar Hai !  Istelah E Mohaddiseen Me Hadees Ka Sab Se Aala Darja Saheeh Aur Sab Se Past Darja Mau'ju Hai Aur Wast ( Bich ) Me Bahot Si Aqsaam ( qisme ) Haiñ Jo Darja Ba Darja Murattib ( Ikattha Ki Huwi ) Haiñ Saheeh K Ba'ad Hasan Ka Darja Hai Lihaza Nafee E Sehat Nafee E Hasan Ko Mustalzim Nahi - Balke  Agar Za'if Bhi Ho To  Fazail E Aamal Me Hadees E Za'if Bil Ijmaa ( Poore Taur Par )  Maqbool Hai In Ahadees K Talluq Se Muhaddiseen Ka Ye Farmana K *" Ye Tamaam Ahaadees HUZOOR ﷺ Tak Marfoo Ho Kar Sahi Sabit Nahi Huwi "* Ye Sabit Karta Hai K Ye Ahadees Mauqoof Saheeh Haiñ !

☛ ( 20 ) *Chunañche Hazrat Mulla Ali Qaari رحمة الله عليه Farmate Haiñ*

➡ Mai Kahta hu K Jab Is Hadees Ka Rafa'a ( pahoñchna )Hazrat Siddique Akbar رضى الله تعلی عنه Tak Saabit Hai To Amal K Liye Kafi Hai Kiu K *HUZOOR* ﷺ Ka Farman K Mai Tum Par Laazim Karta Hu Apni Sunnat Aur Apne Kholafa E Rashideen Ki Sunnat !

*《 Maujuhaat E Kabeer Safa 64 】*

➡ Maloom Huwa K Hadees Mauqoof Saheeh Hai Kiu K Sayyadna Siddique Akbar رضى الله تعالى عنه  Tak Iska Rafa'a ( Pahoñchna ) Sabit Hai Aur Sayyadna Siddique Akbar رضى الله تعالى عنه Ki Sunnat *HUZOOR* ﷺ Ki Sunnat Hai !

☛ ( 20 ) Chunañche Mukhalefeen( Bad Mazhab , Wahabi ) K Sar Giroh Janab Khaleel Ahmad Ambethwi Aur Janab Rasheed Ahmad Gangohi  Kahte Hai.

➡ Jis K Jawaz Ki Daleel Quroon E Salaasa Me Ho Yaani Jis K Jaiz Hone Ki daleel Taba'een K Daur Me Ho Khwah Wo Jizya Bawajoode Kharji Un Quroon Me Huwa Ya Na Huwa Aur Khwah Is Ki Jins Ka Wajood Kharij Me Huwa Ya Na Huwa Ho Wo Sab Sunnat Hai.

《 Baraheen E Qate'aa Safa 28 》

➡ Sabit Huwa K Gangohi Sahab K Najdeek Aazan Me Naam E Aqdas Sun Kar Añghuthe Chumna Sunnat Hai Kiu K Mulla Ali Qari Ki Ibarat Se 
Quroon E Salaasa Me Is Ki Asl Mutahaqqiq Ho Gayi  Fir Isko Bid'at Wagairah Kahna  Mahaz Jihalat Aur Ta'assub Nahi To Aur Kiya Hai !

☛ *Biradraan E Ahle Sunnat Tawajjo Farmaiye*

➡ *Mere Sunni Bhaiyo !!* Hosh Me Aao Khabar Dar Ho Jaao - Ye Daur Bara Nazuk Aur Fitno Ka Daur Hai Sakht Aajmaish ( Exam ) Ka Waqt Hai Be Deeni Bad Aqidgi Ki Aañdhiyañ Aur Gumrahi K Tufaan Zor Par Hai

➡ Lihaza Apne Imaan O Aqa'id Ki Khoob Hifazat Karo Aur Buzurgan E Deen K Tareeke Par Qaaim Raho Ghairo Ki Sohbat O Majlees Aur Taqareer Aur Letreture Se Ijtinaab ( Parhej karo , Bacho )  Karo Aur Aulama E Rabbaniyyin Buzurghan E Deen Salf Saleheen K Haalat Ka Mutaliya ( Dekho ) Karo Aur Unki Kitabeiñ Padho Aur Roza Wa Namaz Ki  Pabandi Karo - Darood O Salaam Ki Kasrat Rakho - Saada Wa Suthra Libaas Pahno - Saro Par Gairo Ki Waza K Baal Na Rakho Balke Sunnat K Mutabiq Rakho - Kisi Qamil ALLAH Wale Ki Sohbat Ikhteyar Karo Jo Saheeh Mano Me ALLAH Wala Ho - Aapas Me Ittefaq Aur Mohabbat Se Raho !

*ALLAH Kareem Tabarak Wa Ta'ala Apne Habeeb Kareem ﷺ K  Sadqa O Tufail Hame Ahle Sunnat Wa Jama'at K Aqaa'id O Aamaal Par Rakhe Aur Khatma Imaan Par Farmaye !*

آ مین ثمّ آمین بحرمتہ سیّد المرسلين رحمة اللعالمين شفيع المذنبين صلّى الله تعالى عليه و آلہ واصحبہ وبارك وسلّم اجمعين 

*TOPIC END*
           

TALIB-E-DUA

SHAHZADI-E-ISLAM

SAYYEDA NEHA NAZ

Comments

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi