Posts

Showing posts from July, 2018

BAHARE RAMZAN

SHAHZADI-E-ISLAM NETWORK " MAAH E RAMZAN SHARIF " ╭┉─════──════──════ ──╮                  * MAAH E RAMZAN *                                          * CHAND KA BAYAN *       ╰┉─════──════──════ ──╯ * Al-Quran:-  * Aye Mehboob Tum Se Chand Ke Bare Me Sawal Karte Hain, Tum Farma Do Wo Logon Ke Kamo Aur Haj Ke Liye AWQAT Hain..... * 📓{Shure Baqra-189} * * Hadees:- *   Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Karo & Chand Dekh Kar Iftar Karo " Aur Agar Abar (Badal) Ho To Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo... * 📚{Sahi Bukhari Sharif hadis-1909} * * Hadees:- * Ummul Momineen Hazrat Aisha Siddiqa رضي الله عنها   Se Riwayat Hai Rasool صلى الله عليه وسلم Shaban Ke Mahine Ki is Qadar Hifazat Karte Ki itni kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte " Phir chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru karte " Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte..... * 📚{ Abu Dawood sharif Hadis-2325} * 5 mahino ka Chand Dekhna Wajib e Kifaya Hai 1:- shaban  2 :-

HAJJ KA BAYAN

SHAHZADI-E-ISLAM NETWORK " BAHAR E HAJJ " *┄┅═══════❁❁═══════┅┄*                 *BAHAR E HAJJ*                         *Islam Ki Buniyadi baten..*   *┄┅═══════❁❁═══════┅┄* Islam Ki Bunyaad Paanch Cheezon Par Hai.. *1- Emaan* *2- Namaz* *2- Roza*  *4- Zaqat*  *5- Hajj* Hajj Wo Rukne Islam Hai Jo Sirf Us Muslman Par Zindagi Me Ek bar Farz Hai Jo Is Ki Istat'at Rakhta Ho Is Ki Farziyat Ka Inkaar Karne Wala kafir Hai Is Azeem Ibadat Ki Sa'adat Bar Bar Naseeb Nhi Hoti Aksar Logon Ko Zindgi Me Hajj Ka Ek Hi Bar Mauka Milta Hai Agar Khuda na khawsta Us Me Koi Khami Ya Naqs Waqai Ho Jae To Sakht Mahroomi Aur Zindagi Bhar Ka Pachtawa Ho. Is Liye Safar E Hajj Se Pahle Hi Us Ke Ahkaam wa Masail Achhi Tarah  Seekh Lena Chahiye Taaki Hajj e Mabroor Ki Sa' adat Hasil Ho Ki Hajj E Mabroor Hi Ke Bare Me *Rasool ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ*  Ki Uska Sawab Jannat Hi Hai.Kisi Bhi Ibadat Ko *Allah ﷻ* Ki Baargah Me Maqbool Hone Ki Bunyaadi Shart  Ye Hai Ki Wo Allah