SHAHEED KA BAYAN

SHAHZADI-E-ISLAM


💜SHAHEED KA BAYAN

-

*》Shaheed Ki Qisme《*

Shahadat Akhri manzil hai insani sa'adat ki,
" woh khush qismat hai mil jaaye jinhe daulat Shahadat ki,"

Shahadat paa ke hasti zinda jawed hoti hai,
Ye rañge shaam subha eid ki tamheed hoti hai.

Dunya k lihaaz se dunya k mukhtalif darje hai. 
Koi chokidaar hai to koi constable, koi sub inspector hai to koi ISP yaha tak k koi wazeer-e-azam hai to koi Sadre jamhuriyya. Aur ba'az intihai zillat o pasti mai hai, jese khori wagairha k unke ghar wale bhi unse nafratt  karte hai.

Issi tarah Islami Aytebaar se bhi insaano ki do qismay hai;

*1-Muslim*
*2- Kaafir*,

kaafiro mai bhi mukhtalif darje hai, un mai murtad sab se badtar kaafir hai ke jeene ke bhi layaq nahi hai.

Aur Musalmano mai sab se acha darja Sayyadur Rasool Nabiy-ul-Ambiya Janab Ahmad Mujtaba Muhammad Mustafa ﷺ ka hai. Fir Rusul-e-azaam ka, Fir dighar Ambiya-E-Kram ka, Fir Sidiqeen, Fir Shouhada aur Fir Saliheen ya'ani Awliya-e-Kiraam ka. رضي الله تعالى عنهم. 

Fir Awliya-e-Kiraam mai bhi Guas, Qutub, Abdaal aur Owtaad wagayra mukhtalif darjaat hai.

Aur Fir Ulama-e-Islam hai woh bhi mukhtalif darje wale hai. Fir Momin Muttaqqi hai ya fir Faasiq aur Musalmano mei sab se kam darja gumrah o badd mazhab ka hai, jis ki badd mazhabi hadd-e-Kufr ko nahi pohnchi hai.

Nabi us Mohtaram hassti ko kehte hai jis par Allah تعالى ki Janib se wahi nazil ki gayi ho. Ibadat aur riyazat se koyi nabi nahi ho sakta balke Allah تعالى apne fazal se jise chahta hai Nabuwwat se sar faraaz farmata hai. 
Magar hamare nabi akram ﷺ k baad koyi nabi nahi ho sakta k woh Kaatim-ul-Ambiya hai. Aur Siddiq ya wali banna bhi bara mushkil kaam hai.

Aur shaheed banna mushkil bhi hai aur aasan bhi. Mushkil toh iss lihaaz se hai k insaan ko apni jaan bahut zyada pyaari hoti hai aur aasan iss aytebaar se hai k thori hi der mai darja-e-Shahadat haasil ho jata hai, Ya'ani ek hi jast mai zameen ki pasti se aasman ki bulandi par pooch jata hai..

*●Shaheed Ki Teen Qisme Hoti Hain.*

1 - Shaheed Haqeeqi,
2 - Shaheed Fiqhi,
3 - Shaheed Hukmi.

1 - Jo Allah Ki Raah Me Qatl Kiya Jaye Woh Shaheed Haqeeqi Hai.

2 - Aur Shaheed Fiqhi Usse Kehte Hain Ke Aaqil Baligh Musalmaan Jis Par Gusal Farz Na Ho Woh Talwar Aur Bandook Wagerah Aala e Jarah Se Zulman Qatl  Kiya Jaye Aur Qatl Ke Sabab Maal Na Wajib Hua Ho. Aur Na Zakhmi Hone Ke Baad Koi Faydaa Duniya Se Hasil Kiya Ho. Aur Na Zindo Ke Ayhkam Me Se Koi Hukum Uss Par Sabit Hua Ho Yani Agar Pagal, Na Baligh Ya Haiz o Nifaas Wali Auraten Aur Aur Janub Shaheed Kiye Jayen To Shaheed Fiqhi Nahi. Aur Agar Qatl Se Maal Wajib Hua Ho Jese Ke Lathi Se Maraa Gaya Ya Qatl Khataa Ke Maar Raha Tha Shikaar Ko Aur Lag Gaya Kisi Musalman Ko. Ya Zakhmi Hone Ke Baad Khaya, Ya Piya, Ilaaj Kiya, Namaz Ka Pura Waqt Hosh Me Guzaraa Aur Woh Namaz Par Qadir Tha Ya Kisi Baat Ki Wasiyat Ki To Woh Shaheed Fiqhi Nahi. 
Magar Shaheed Fiqhi Hone Ka Ye Mani Nahi Ke Woh Shaheed Hone Ka Sawab Bhi Na  Payega Balki Uska Matlb Sirf Itna Hai Ki Usse Gusal Diya Jayega  Aur Shaheed Fiqhi Ki Namaz Janaza To Padhi Jayegi Magar Usse Gusal Nahi Diya Jayega Wese Hi Khoon Ke Sath Dafan Kr Diya Jayega. Aur Jo  Cheezen Ke Az Qism Kafan Nhi Hongi Unhe Utaar Liya Jayega Jese Zarrah, Topi Aur Hathiyar Wagerah. Aur Kafan Masnoon Me Agar Kami Hogi  To Usse Pura Kiya Jayega. Pajama Nahi Utara Jaye Aur Sare Kapde Utbaar Kar Naye Kapde Nahi Diye Jayenge Ke Makrooh Hai.

3- Aur Shaheed Hukmi Woh Hai Jo Zulman Nahi Qatl Kiya Gaya Magar Qayamat Ke Din Woh Shaheedon Ke Giroh Me Uthaya Jayega.  

Hadees Shareef Me Hai Ki Sarkar E Aqdas ﷺ Ne Farmaya Ke Khuda ﷻ Ki Raah Me Shaheed Kiye Jane Ke Alawa Saat (7) Shahadaten Aur Hain. 

1 - Jo Tufaan Me Marey Shaheed Hai. 

2 - Jo Doob Ke Mar Jaye Shaheed Hai. 

3 - Jo Nimooniya Se Marey Shaheed Hai. 

4 - Jo Pet Ki Bimari Se Marey Shaheed Hai. 

5 - Jo Aag Me Jal Jaye Shaheed Hai. 

6 - Jo Imaarat Ke Niche Dab Kar Mar Jaye Shaheed Hai. 

7 - Jo Aurat Bachche Ki Paidaish Ke Waqt Mar Jaye Woh Bhi  Shaheed Hai. 

*[📖Mishqaat Shareef, Safha 134]*

Inke Alawa Aur Bhi Bhut Si Suraten Hain Jinme Shahadat Ka Sawab Milta Hai  Unme Se Chand Yeh Hai. 

1 - Halat Safar Me Mara,

2 - Sal Ki Bimari Me Mara,

3 - Sawari Se Gir Kar Mara  Ya Mirgi Se Mara,

4 - Bukhaar Me Mara,

5 Jaan o Maal, Ahlo Ayaal Ya Kisi Haq Ke Bachane Me Qatl Kiya Gaya, 

6 Ishq Me Mara Bashart Yeh Ke Paak Daman Ho Aur Chupaya Hua Ho, Kisi Darinde Ne Phaar Khaya, Badshah Ne Zulman Qaid Kiya Ya Mara Aur Mar Gaya, 

7 - Kisi Moozy Janwar Ke Katne Se Mara, 

8 - Ilme Deen Ki Talab Me Mara, 

9 - Muazzin Jo Ke Talab Sawab Ke Liyen Azaan Kehta Ho,

10 - Raast Go Tajir, Jise Samandar Ke Safar Me Ulty Aayi Aur Mar Gaya,

11 Jo Apne Baal Bachchon Ke Liyen Sayii Kare Unme Amarilaahi Qayam Kare Aur Unhe Halal Khilay,

12 - Jo Jo Har Roz 25 Bar Yeh Dua Padhe. .............., Jo Chasht Ki Namaz Padhe, 

12 - Har Mahine Me 3 Roze Rakhe Aur Witr Ko Safar O Hazr Me Khin Tarq Na Kare , 

14 - Fasaad Ummat Ke Waqt Sunnat Par Amal Karne Wala Uske Liyen Sou(100) Shaheedon Ka Sawab Hai. 

15 - Jo  Marz Me.40 Martaba Kahe Aur Usi Marz Me Inteqaal Kar Jaye Aur Achcha Ho Gya To Uski Maghfirat Ho Jayegi. 

16 - Kuffar Se Muqable Ke Liyen Sarhad Par Ghoda Bandhne Wala,

17 - Jo Shakhs Har Roz Raat Me Surah Yaseen Padhe , 

18 - Jo Bawuzu Soya Aur Mar Gaya

TALIB-E-DUA

SHAHZADI-E-ISLAM


WRITTEN  BY :-

SAYYEDA NEHA NAZ

Comments

  1. Assalam o alaikum..mjy puchna hai k agar shohar k mard rishtedar ghr me aa k rehty hon..or wo b door k .or biwi ko isper aitraz ho .ku k hr ghr ki privacy hoti hai..ir agar biwi mana kre to shower ghussa ho or kahen tm Meri or Allah ki mujrim ho .to is bare me Islam orat ko kia hukm deta h..aik or bat Meri Shadi ko 8 sal hogaye hn or 8 saal se kbhi koi bnaja to kbhi koi door k sirf mard rishtedar rhety hn or ab me tang aa gai hu..please btayen hmara Islam kia kehta h..kia biwi gunhagar hoti h mana kren se

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi