KIN KIN HALATO ME ROZA NA RAKHNE KI IJAZAT HAI

SHAHZADI-E-ISLAM

A NON PROFITABLE ORGANISTION WHICH BELONGS TO SUNNI SAHI UL AQEEDA, MASLAK E AHLE SUNNAT WA JAMAAT (MASLAK E AALA HAZRAT) OUR AIM TO PROVIDE AND SPREAD AUTHENTIC AND TRUE BELIEF'S OF AHLE SUNNAH AND TO BOYCOTT AHLE WAHABI'S, DEOBANDI AND OTHER FALSE BELIEVER'S....


KIN KIN HALATO ME ROZA NA RAKHNE KI IJAZAT HAI

KIN KIN HALATO ME ROZA NA RAKHNE KI IJAZAT HAI

MASLA:
Safar, hamal aur bache ko doodh pilana aur bimari, budhapa aur halaak hona ka dar aur nuqsaan aqal, jihad ye sab roza na rakhne k liye azar hain in baato ki waja se agar koi roza na rakhega to gunahgaar nahi lekin baad me jab azar jata raha to in chodey huye rozo ka rakhna farz hai.

MASLA:
Safar se muraad sharayi safar hai yaani itni dur jaane k irade se nikley k yaha se waha tak 3 din ki raah ho agarche wo safar kisi najayaz kaam k liye ho.
(DUR E MUKHTAR)

MASLA:
Din me safar kiya to is din ka roza iftaar karne k liye aaj ka safar azar nahi albatta agar todey to kaffara laazim na aayega magar gunahgaar hoga aur agar safar se pehle tod diya phir safar kiya to kaffara bhi laazim hua.

Aur agar din me safar kiya aur makaan me koi cheez bhool gaya tha isey lene wapas aaya aur makaan per aakar roza toda daala to kaffara wajid hai.
(ALAMGIRI)

MASLA:
Khud is musafir ko aur iskey sath waley ko roza rakhne me zarar na pahoche to roza rakhna safar me behtar hai warna na rakhna behtar.
(DUR E MUKHTAR)

MASLA:
Hamal wali aur doodh pilaney wali ko agar apni jaan ya bache ka sahih dar ho to ijazat hai k us waqt roza na rakhe khwaah doodh pilane wali bache ki maa ho ya daayi agarche RAMADAN me pilani ki naokri ki ho.
(DUR E MUKHTAR)

Aaj kal k aksar itteba yaani tabeeb agarche kafir nahi to fasiq zaroor hain aur na sahi to haziq o mahir tabeeb nayaab se ho rahe hain aeso ka kehna kuch qabil e aetbaar nahi inkey kehne per roza na rakhna ya tod dena jayaz nahi.

In tabeebo ko dekha jata hai k zara zara si bimaari me roza ko mana kardete hain itni bhi tameez nahi rakhte k kis marz me roza mazar hai kis me nahi.

MASLA:
Bhook aur pyaas aesi ho k halaak hojane ka sahih dar ho ya aqal kharaab hojane ka dar ho to roza na rakhey.
(FATAH UL QADEER O ALAMGIRI)

MASLA:
Saamp ne kaata aur jaan ka dar ho to roza tod de.
(RAD UL MUKHTAR)

MASLA:
Shikh faani yaani wo budha jiski umar aesi hogayi k ab roz baroz kamzor hi hota jayega, jab roza rakhne se ajiz ho yaani na ab rakh sakta hai na aayinda isme itni taaqat aaney ki umeed hai k roza na rakh sakega to isey roza na rakhne ki ijazat hai aur har rozey k badle me fidya yaani dono waqt ek miskeen ko bhar pet khana khilana is per wajib hai ya har roze k badle me sadqa fitar k barabar miskeen ko de de.
(DUR E MUKHTAR O ALAMGIRI)

MASLA:
Agar aesa budha garmiyo me garmiyo ki waja se roza nahi rakh sakta magar jaadon me rakh sakta hai to ab iftar karley aur inkey badle k jaado me rakhna farz hai.
(RAD UL MUKHTAR)

MASLA:
Agar fidya dene k baad itni taaqat aagayi k roza rakh sakey to in rozo ki khaza rakhna wajib hai fidya sadqa nafil hogaya.
(ALAMGIRI)

MASLA:
Kisi k badley koi dusra na roza rakh sakta hai na namaz padh sakta hai albatta apne rozey namaz wahaera ka sawaab dusrey ko pahocha sakta hai.
(HIDAYA, ALAMGIRI, DUR E MUKHTAR)

MASLA:
Nafili roze qasdan shuru karne se laazim hojata hai agar todega to khaza wajib hogi ya kisi waja se toot jayega jaese haez agyaa to bhi khaza wajib hai.
(DUR E MUKHTAR)

MASLA:
Eidayen ya ayyaam tashreeq me nafil roza rakha to is roze ka pura karna wajib nahi balkey is roze ka tod dena wajib hai aur iskey todne se khaza wajib nahi aur agar in dino me roze ki mannat maani to mannat puri karni wajib hai lekin in dino me nahi balkey aur dino me.
(RAD UL MUKHTAR)

REFERENCE

QANOON E SHARIYATH

POSTED BY

SHAHZADI-E-ISLAM

WHATSAPP GRP FB PAGE AND CHENNEL
CONTACT US
8439674033


Comments

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi