HAEZ O NIFAAS KA BAYAAN

SHAHZADI-E-ISLAM

A NON PROFITABLE ORGANISTION WHICH BELONGS TO SUNNI SAHI UL AQEEDA, MASLAK E AHLE SUNNAT WA JAMAAT (MASLAK E AALA HAZRAT) OUR AIM TO PROVIDE AND SPREAD AUTHENTIC AND TRUE BELIEF'S OF AHLE SUNNAH AND TO BOYCOTT AHLE WAHABI'S, DEOBANDI AND OTHER FALSE BELIEVER'S....

HAEZ O NIFAAS KA BAYAAN

HAEZ O NIFAAS KA BAYAAN

HAEZ KI TAREEF:

Baligha ladki k aagey k muqaam se jo khoon aadi taor per nikalta hai aur bimari ya bacha hone ki waja se na hawa se hua HAEZ kehte hain aur bimari se hua to istehaaza aur bacha hone k baad ho to nifaas kehte hain.

MASAYEL

HAEZ ki muddat kam se kam 3 din aur 3 raate hain yaani purey 72 ghante se zara bhi pehle khatam hojaye to HAEZ nahi balkey istehaaza hai, haan agar subah ko kiran chamakte hi shuru hua aur 3 din 3 raatey puri hokar kiran chamakne hi k waqt khatam hua to HAEZ hai aur is surat me 72 ghante pura hona zaruri nahi.

ALbatta kisi aur waqt shuru ho to ghanto hi se shumaar hoga aur 24 ghante ka ek din raat liya jayega.

(BAHARE SHARIYAT)

10 raat din se kuch bhi zyada khoon aaya to agar ye HAEZ pehli martaba isey aaya hai to 10 din tak HAEZ hai baad ka istehaaza aur agar pehle isey HAEZ aa chukey hain aur aadat 10 din se kam kit hi to aadat se jitna zyada hua istehaaza hai isey yu samjho k paanch din ki aadat thi ab aaya 10 din se kam to kul HAEZ hai aur 12 din aaya to 5 din HAEZ k, baaqi 7 din istehaazar k.

Aur agar ek haalat muqarrar na thi balkey kabhi 4 din aaya kabhi 5 din aaya to pichli baar jitney din aaya itne hi din HAEZ k samjhe jaye baaqi istehaaza hai.

Ye zaruri nahi k muddat me har waqt khoon jaari rahey jabhi HAEZ ho balkey agar baaz waqt aaye jab bhi HAEZ hai.

HAEZ AANEY KI UMAR

Kam se kam 9 baras se HAEZ shuru hoga aur intehaayi umar HAEZ ki 55 saal ki umar hai, is umar wali ko aayisa aur is umar ko san ayaas kehte hain.

(ALAMGIRI)

MASAYEL

9 baras ki umar se pehle jo khoon aaya wo istehaaza hai, yun hi 55 saal ki umar k baad jo khoon aaye wo istehaaza hai, albatta agar 55 baras ki umar k baad khaalis khoon aaye ya jaesa pehle aata tha isi rang ka aaya to HAEZ hai.

(ALAMGIRI)

Hamal wali ko jo khoon aaya istehaaza hai, yu hai bacha hote waqt jo khoon aaya aur abhi bacha aadhe se zyada baahar nahi nikla to wo istehaaza hai.

Do HAEZo k darmiyaan kam se kam purey 15 din ka faasla zaruri hai yun hi nifaas o HAEZ k darmiyaan bhi 15 din ka faasla zaruri hai to agar nifaas khatam hone k baad 15 din purey na huye the k khoon aaya to ye istehaaza hai.

HAEZ is waqt shumaar kiya jayega jab k khoon firf kharij me aagaya to agar koi kapda rakhliya hai jiski waja se khoon firj kharij me nahi aaya dakhil hi me ruka raha to jab tak kapda na nikalegi HAEZ wali na hogi namaazey padheygi, roza rakhegi.

HAEZ K RANG

MASAYEL

HAEZ k 6 rang hain, siyaah, surkh, sabz, zard, gadla, mateela, safed rang ki ratobat HAEZ nahi.

10 din k andar ratubat me zara bhi ma’elapan hai to wo HAEZ hai aur agar 10 din raat k baad bhi maelapan hai to adat wali k liye jo din adat k hain itne din haez k aur adat k baad wale istehaaza aur agar kuch aadat nahi to 10 din raat tak HAEZ baqi istehaaza hai.

Jis aurat ko umar bhar khoon aaya hi nahi yam agar 3 din se kam aaya to umar bhar wo paak hi rahi aur agar ek baar 3 din raat khoon aaya phir kabhi na aaya to wo faqat 3 din raat HAEZ k hain baqi hamesha k liye paak.

NIFAAS KA BAYAAN

NIFAAS KI TAREEF AUR MUDDAT

Nifaas yaani wo khoon jo bacha janne k baad aata hai (matoon) iski kami ki jaanib koi muddat muqarrar nahi aadhe se zyada bacha nikalne k baad ek aan bhi khoon aata to nifaas hai aur zyada se zyada nifaas ka zamana chalees din raat hai.

MASAYEL

Nifaas ka shumaar is waqt se hoga jab k aadey se zyada bacha nikal aaya.

Tambi’aa

Is bayaan me jahaan bacha hone ka lafz aayega aur iska matlab aade se zyada bacha baahar aa jaana hai.

Kisi ko 40 din se zyada khoon aaya to agar iskey pehli baar bacha paeda hua hai ya ye yaad nahi k issey pehle bacha paeda hone me kitne din khoon aaya tha to in dono surto me 40 din raat nifaas hai baqi istehaaza aur jo pehli aadat malum hai to aadat k dino tak nifaas hai aur jitna din zyada aaya to istehaaza aur jo pehli adat malum hai to adat k dino tak nifaas hai aur jitna din zyada aaya wo istehaaza hai jaese aadat 30 din kit hi.

Is baar 45 din aaya to 30 din nifaas k aur 15 istehaaza k hain.

Bacha paeda hone se pehle jo khoon aaya wo nifaas nahi balkey istehaaza hai agarche bacha aadha baahar agaya ho.

Hamal saaqat hone se pehle kuch khoon aaya kuch baad ko to pehle wala istehaaza hai baad wala nifaas hai lekin ye is surat me hai jab koi azu ban chukka ho warna pehle wala agar HAEZ ho sakta hai to HAEZ hai nahi to istehaaza hai.

40 din k andar kabhi khoon aaya kabhi nahi to sab nifaas hi hai, agarche 15 din ka faasla hojaye.

Is rang k baarey me wahi ehkaam hain jo HAEZ me bayaan huye.

HAEZ O NIFAAS K EHKAAM

MASAYEL

HAEZ o nifaas ki haalat me namaz padhna roza rakhna haraam hai.

In dino me namazey muaaf hain, inki qaza bhi nahi albatta rozo ki qaza in dino k baad rakhna farz hai.

Namaz k waqt me wazu karkey itni der tak zikr e ilahi durood e shareef aur dusrey wazeefey padhliya karey jitni der namaz padha karti thi taakey aadat rahey.

HAEZ o nifaas wlai ko QURAN MAJEED padhna dekhkar ho ya zubani aur iska choona agarche jild ya choli ya hashiya ko ungli ki nok ya badan ka koi hissa lagey ye sab haraam hain.

Kaaghaz k parche per koi aayat likhi ho iska choona bhi haraam hai.

QURAN MAJEED jizdaan me ho to is jizdaan k chooney me harj nahi.

Is haalat me QURAN MAJEED aur deeni kitabo k chooney k sab ehkaam wahi hain jo be ghusul waley k hain jiska bayaan ghusul me guzra.

Muaallama ko HAEZ o nifaas ho to eke k kalma saans to d tod kar padhadey aur hijje karane me koi harj nahi.

Is haalat me dua e qunoot padhna makrooh hai.

QURAN MAJEED k alawa aur tamaam azkaar, kalmia shareef, durood e shareef waghaera padhna bila karahat jayaz hai, balkey mustahib hai wazu ya kulli karkey padhna behtar hai aur waese bhi harj nahi, aur inkey chooney me bhi harj nahi.

Jimaa is halaat me haraam hai albatta letne baethne sath khaaney peeney aur bosa lene me harj nahi.

ISTEHAAZA KA BAYAAN

ISTEHAAZA KI TAREEF AUR HUKUM

Wo khoon jo aurat k aagey k muqaam se nikley aur haez o nifaas ka na ho wo istehaaza hai.

MASAYEL

Istehaaza me na namaz muaaf hai na roza muaaf hai na aesi aurat se jimaa haraam hai.

Istehaaza agar is had tak pahoch gaya k itni mohlat nahi milti k wazu karkey farz namaz ada kar sakey to namaz ka pura ek waqt shuru se aakhir tak isi haalat me guzar jaane per isko maazoor kaha jayega, Ek wazu se is waqt me jitni namazey chahey padhe khoon aaney se is ek purey waqt k andar tak wazu na jayega.

Agar kapda waghaera rakh kar itni der tak khoon rok saki hai k wazu karkey namaz padhley to maazoor nahi.

 

Reference:-

(QANOON E SHARIAT)

POST WRITTEN BY:-

SHAHZADI-E-ISLAM

JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY

8439674033

Comments

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi