SHAB-E-QADAR KA BAYAN

SHAB E QADR KA BAYAN 🎴



*Al Quran:*


نَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِِo وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِِo لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍٍo تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمْرٍٍo سَلَامٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِo

*★Kanzul sm Tarjuma:-*
Beshak humne Is (Quran) ko Shab-e-Qadr Main utara hai Aur Ap kya Sumjhte hain (ke) Shab-e-Qadr (Fazeelat o Barkat Aur Ajar o Sawab main) Hazaar Mahino Say behtar hai Is (Raat) Main Farishtay Aur Rooh Ameen (Jibreel) Apne Rab k Hukam Say (Khair o Barkat ke) Har Amar k Saath Utarta Hain Yeh (Raat) Tallu-e-Fajar Tak (Sara Sar) Salamti Hai....

📓[Surah Al Qadr, 97:5.1]

*Shab-e-Qadar Ko Makfee Rakhne ki Hikmat Kya Hai ?*

Agar Laylatul Qadr ko Makfee (hidden) na rakha jata tou amal ka kaam kam hojata Aur ussi Raat ki Ibadat par Uktefa karlia jata. Zooq-e-ibadat main kami Aana shuru hojati....

Agar Kisi Majboori Kisi Waja Say Agar Raat reh jati tou Phir usko yeh sadma rehta...

Allah ko Bando ka Raat k Auqaat Main Jaagna bay-had mehboob hai, 

Laylatul Qadr ka Waqt isliye nahi Farmaya take Banday us ek raat ko talaash karnay main 5 Taaq (odd) Raato main Jaag kar Apne Rab Say Mangay....

*AL-QURAN*

*★ اِنَّاۤ اَنۡزَلْنٰہُ فِیۡ لَیۡلَۃِ الْقَدْرِ﴿۱﴾ۚۖ*

*☆ Kanzul Iman Translation:*
be'shaq Hmne isse shab e Qadr me utara.

*TAFSIR E KHAZAIN UL IRFAN: (2Fa)*

Yani Quraan Majeed Ko Loohe Mahefuz Se Aasman Duniya Ki Taraf Yakbar'Gi..

*( 3 Fa)*

Shabe Kadar Sharf Wa Barkat Wali Raat Hai Isko Shabe Kadar Is Liye Kahete Hai Ke Is Shab Me Saal Bhar Ke Ahkaam Nafeez Kiye Jate Hai Aur Malaeka Ko Saal Bhar Ke Wazaif Wa Khidmaat Par Mamur Kiya Jata Hai,,

Ye Bhi Kaha gaya Hai Ke Is Raat Ki Sharafat Wa Qadar Ke Ba'as Is Ko Shabe Qadar Kahte Hai,,

Aur Ye Bhi Mankul Hai Ke Is Shab Me Aamal'e Salha Mankul Hote Hai Aur Baargahe Ilahi Me In Ki Qadar Ki Jati Hai Is Liye Isko Shabe Qadar Kahte Hai,,

*AL-QURAN*

★  وَ مَاۤ اَدْرٰىکَ مَا لَیۡلَۃُ الْقَدْرِ ؕ﴿۲﴾

*☆ Kanzul Iman Translation:*

Or tumne kya jane kya shab e Qadr

*(📖AL-QADR - 97:2 )*

HAZRAT E AYESHA رضي الله عنها  ne farmaya ki maine HUZUR ﷺ se pucha ki YA RASOOL ALLAH! agar mujh ko Shab e Qadr malum ho jaye to me usme kya karu?  Huzur ﷺ ne farmaya ki ye dua padho.

*Tarjuma*
Yani AYE ALLAH, tu muaf farmane wala hai muaf karna tujhe pasand hai to mujhe muaf farma de

*📚(Tirmizi Sharif)*

*Al-Quran*

★ لَیۡلَۃُ الْقَدْرِ۬ۙ خَیۡرٌ مِّنْ اَلْفِ شَہۡرٍ ؕ﴿ؔ۳}

*☆ Kanzul Iman Translatio*
shab e qadr hazar mahino se behter..

*TAFSIR-E-KHAZAIN'UL'IRFAN: (4 FA)*

Jo Shabe Qadar Se Khali Ho,,Us Ek Raat Me Neak Amal Karna Hazaar Rato Ke Aamal Se Bahetar Hai Hadis Sharif Me Hai Ke "Nabi-E-Karim ﷺ" Umme Guzista Ke Ek Shaksh Ka Zikr Farmaya Jo Tamam Raat Ibadat Karta Tha Aur Tamam Din Jahad Me Masruf Raheta Tha,,Is Tarha Usne Hazaar Mahine Guzare The Musalmano Ko Us Se Tazoob Huwa To *Allah'Tala* Ne Aap Ko Shabe Qadar Ata Farmai Aur Ye Aayat Nazil Ki Ke Shabe Qadar Hazar Mahino Se Bahetar Hai,,(Akhraja Bin Jadid Aain Tariq Mujahid ) Ye *Allah'Tala* Ka Apne *Habib* Par Karam Hai ke Aap Ke Ummati Shabe Qadar Ki Ek Raat Ibadat kare To Un Ka Sawab Pichli Ummat Ke Hazar Maha Ibadat Karne Walo Se Ziyada ho.

*(📖 AL- QADR-97:3)*

*Al-Quran*

★  تَنَزَّلُ الْمَلٰٓئِکَۃُ وَ الرُّوۡحُ فِیۡہَا بِاِذْنِ رَبِّہِمۡ ۚ مِنۡ کُلِّ اَمْرٍ ۙ﴿ۛ۴﴾

*☆ Kanzul Iman Translation:*

Is Me Farishte Aur Jibrail Utarte Hai (F 5) Apne Rab Ke Huqm Se Har Kaam Ke Liye (F humja)

*Tafsir-E-Khazain'Ul'Irfan: (5 Fa)*

Zameen Ki Taraf Aur Jo Banda Khada Ya Baitha Yade "Ilahi" Me Mash'gool Hota Hai Us ko Salam Karte Hai Aur Us Ke Haq Me Dua Wa Ashtaq'Faar Karte Hai.

( 6 Fa)

Jo Allah'Tala Ne Is Saal Ke Liye Mukar'rar Farmaya.

*(📖 AL-QADR-97:4)*

*Al-Quran*

★ سَلٰمٌ ۟ۛ ہِیَ حَتّٰی مَطْلَعِ الْفَجْرِ ٪﴿۵﴾

*☆ Kanzul Iman Translation:*

Wo Salamati Hai Subha Chamakne Tak..

*Tafsir-E-Khazain'Ul'Irfan: (7 Fa)*

Balao Aur Aafato Se..

Hadis Me Is Shab Ki Bohat Fazilate Ward Hui Hai Bukhari Wa Muslim Ki Hadis Me Hai Ke Jis Ne Is Raat Me Imaan Wa Ikhlaas Ke Sath Shab-Bedari kar ke Ibadat Ki Allah ﷻ Us Ke Saal Bhar Ke Gunha Baksh Deta Hai,,

Aadmi Ko Chahiye Ke Shab Me Kasrat Se Ashtaq'Faar Kare Aur Raat Ibadat Me Guzare Saal Bhar Me Shabe Qadar Ek Martaba Aati Hai Aur Riwayat e Kashira Se Sabit Hai Ke Wo Ramzan'Ul'Mubarak Ke Ashte'Aakhir Me Hoti Hai Aur Aksar Is Ki Bhi Taak Rato Me Se Kisi Raat Me,,Baaz Ulma Ke Nazdeek Ramzan'Ul'Mubarak Ki 27vi Raat Shabe Qadar Hoti Hai Yahi Hazraat"Imame Aazam Radi'Allah'Tala'Anhu" Se Marvi Hai,,Is Raat Ke Fazail Azima Agli Aayato Me Irshad Farmate Hai..

Hadis :
Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Farmaya:
"Shabe Qadr Ko Ramzan Ki Aakhri Ashre Ki Taak Raaton Mein Dhoondo”

*[📖Sahih Al-Bukhari, Jild 3, Kitaab Fazail Laylatul Qadr, Hadith No. 2017]*

Shabe Qadr ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato Yani..

☑21vi Shab..
☑23vi Shab..
☑25vi Shab..
☑27vi Shab..
☑29vi Shab..
Raato me Talash Karo..

*Note:*
Haan ! Falah Raat Talash Karo Wallah Alim, Jisnay suna Ussi ka Qail Raha Aur 27th Raat k Shab-e-Qadr honay k Qaileen ke Tadaad Bohat Ziyada 
(O'on Al Mabood)
Iska Matlab Yeh Nahi hai ke Baqi Taaq Raato ki Ibadat chordi jae Bal k Unko Barqarar Rakha jae kyu ke Alag Alag Hadith Isharay Mil Rahay Hain Aur Humain Sab Taaq Raato Main Doondhna Chai Hai Kya Pata 21 Main Ho Kya Pata 23, Kya pata 25 Main Kya Pata 27 Main

*Wallah Alimo Wa Rasoolaho Alam*

*Shab E Qadr Ki Nafil Namaz ki fazilat*

HUZUR ﷺ irshaad farmate hai ki meri Ummat me se jo mard ya aurat yeh khawahish kare ki meri Qabr noor ki roshni se munawwar ho to use cahiye ki Maah e Ramzan ki shab e qadr me kasrat ke saath Ibaadat e Ilahi bajah laaye taaki in Mubarak raato ki ibaadat se ALLAH ﷻ uske naama e aamal se buraiya mitakar nekiyo ka sawab ata farmaye. Shab e Qadr ki ibaadat 70000 shab ki ibaadato se afzal hai.

*📚(Book : 12 Mahino ki nafl namaze (Aukaatusalaat), Page­ No.25)*

Aalahazrat رحمةاللّٰه عليه farmate hain : Jab tak farz zimma par baqi rahta hai koi nafil qabool nhi kiya jata...
*📖Almalfooz, 1/70*

*Note:- 01* jiski Namazen Qaza Baaqi hai Wo  Qaza Ada kare ..

*Post End hui....*

POSTED BY


🌸S̺͆H̺͆A̺͆H̺͆Z̺͆A̺͆D̺͆I̺͆ E̺͆ I̺͆S̺͆L̺͆A̺͆M̺͆


-91 8439674033

https://m.facebook.com/Shahzadi-E-Islam-1653405101605145


https://youtu.be/duapoJYUg90

🔁SUBSCRIBE OUR CHENNEL






            ➖➖➖➖➖

Comments

  1. How to get Titanium White octane, the new cartridge
    TINY: Titanium white octane black titanium is an alloy titanium rod in femur complications developed by titanium wedding bands for men the manufacturer of the cartridge-based aluminum babyliss pro nano titanium curling iron cartridge-based aluminum oxide. The steel is manufactured and microtouch titanium trim walmart

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi