JAYEZ TAWEEZ WALI EK HADIS PAR ETRAAZ AUR USKA JAWAB

SHAHZADI-E-ISLAM

A NON PROFITABLE ORGANISTION WHICH BELONGS TO SUNNI SAHI UL AQEEDA, MASLAK E AHLE SUNNAT WA JAMAAT (MASLAK E AALA HAZRAT) OUR AIM TO PROVIDE AND SPREAD AUTHENTIC AND TRUE BELIEF'S OF AHLE SUNNAH AND TO BOYCOTT AHLE WAHABI'S, DEOBANDI AND OTHER FALSE BELIEVER'S....

JAYEZ TAWEEZ WALI EK HADIS PAR ETRAAZ AUR USKA JAWAB

TAWEEZ KI HADEES PER WAHABIYO KA RADD

"HAZRAT IBNE ABBAS رضي الله عنه se manqool hai k wo riwayat karte hain k,

Aurat ke baccha paeda hone me mushkil hone lage to wo ek thaali (tashtari) me ALLAH k kalaam aur duaa ko likhkar, aur uska dhowan us aurat ko pine ke liye dete..aur kahete baccha jakdi aur aasani se hoga."

(Musannaf ibne abi shayeba:8..23)

AETRAAZ

Is hadees ki sanad me ek rawi h jiska naam MOHAHMMED BIN ABDURRAHEMAN BIN ABI LAYELA hai jo DAEEF hai...

AETRAZ KA JAWAB

"Is raawi ki par harah ki gai haie..par mohaddisin ki taraf se uski TAUSIQ bhi ki gai hai maslan...

IMAM DAHBI رحمة الله عليه is rawi ke baare me farmate hai k

WO SUDOOQ (saccha) IMAM HAI, AUR (aakhir umar me) UNKA HAFIZA (yaad daasht) MUTYAGAR HOGAYA THA. AUR UNKI TAUSIQ KI GAI HAI.

Imam dahbi..mizanul etedal:6..221.

IMAM IBNE RAJAB رحمة الله عليه unke baare me farmate hai k

"(wo) SACCHE HAIE..UNPAR JHUT KI TOHMAT NAHI LAGAI GAI."

Ibne rahab shara ilale tirmizi:1..145.

IMAM SUFIYAN SURI رحمة الله عليه ne unse riwayat ki hai, chunanche wo farmate hain,

"IBNE ABI LAYELA HAMARE FUQHA MESE HAIE."

sufyan suri..akhbarul qadhaa:574.

Isi tarah ek aur jaga sufiyan suri farmate hai k

"HAMARE MOHADDISEEN IBNE ABI LAYELA AUR SHUBRAMA HAI."

Sufiyan suri..al kamil..7..392.

To malum hua ke hafize ki kharabi ki waje se mohaddiseen ne unpar jarah ki h..aur sirf isi waje se unpar kalaam kiya hai...

Warna naa wo QADRI the naa SHIYA aur naa hi unpar HADEES GHADNE ka ilzam hai aur na hi wo kazzaab the..

Jayesa ke bayan hua ke unka aakhri umar me hafiza kharab hogaya tha..lehaza mohaddisin mashoor usool w zabta h k jis rawi ka hafiza kharab hojaye to ikhtelat se pahele (yaad daasht kharab hone se pahele) wali riwayat aur pehle waale SHAGIRDO ki bayan kurda hadise SAHI hoti hai lekin baad wali riwayat w shagird ki nahi...

Ab sawal ye h k is tawiz wali riwayat me jo shagird ALI BIN MUSH,HIR haie kya unhone ibne abi layela se qadiman (hafiza kharab se pahele) sima kiya haie.???

Iska jawab hai k Ji haan! 

Ali bin mush,hir ne ibne abi layela se qadiman aur ikhtelat se pahele sima kiya h..iska sabut darje zeel pesh hai

SHARAH MANI AL AATAR kitab me tarke rafa yadyen par ek hadis maujud h..jiski sanad me ALI BIN MUSH,HIR apne ustad ibne abi layela se riwayat karte h....hawala....

Sharah mani al aatar:2..176..3821.

Yahi riwayat dusre shagird se bhi marwi hai jinka naam hai AL MUHARBI hawala....

Juz e raful yadyen mutarjim:336..84.

Teesri shagird wali riwayat al maujamul kabir tibrani me maujud h..aur usme tisre shagird ka naam IMRAN IBNE ABI LAYELA haie.....hawala..

Tibrani..al maujamul kabir:11..385..12072.

Chauthe (4th) shagird wali riwayat me ALI BIN MUSH,HIR hai (jo tawiz wali riwayat me h)....hawala....

Juz e rafa yadain:336..84.

Ab yaha Qaabil e ghaor baat ye hai k ibne abi layela se ye tarke rafa yadyen wali riwayat 4 shagirdo ne bayan ki hai jinme ALI IBNE MUSH,HIR bhi hai...

Ghaor karne ki baat ye h k 4ro shagirdo ke samne ibne abi layela ne wahi SANAD aur wahi MATAN naqal kiya h.... agar unka hafiza kharab hota to un shagirdo ki riwayat me IZTERAB (alag alag bayan hota)

Lekin ayesa nahi h..

Al gharaz isse malum hota h k ye 4 shagirdo ka sima qadim (pehle) zamane me hai yani ikhtelaat se phele (yaad daasht kharab hone se pahele) unhone ibne abi layela se riwayat suni hai..

To malum hua k ali ibne mush,hir ne qadiman unse tawiz wali riwayat me sima kiya hai..

Aur is baat ki taayid isse bhi hoti hai k sufiyan suri aur digar fuqaha ne ibne abi layela se riwayat ki aur unki tausiq bayan ki h..jisse malum hota h k us waqt unka hafiza bilkul durust aur sahi tha.. tabhi unki tausiq bayan ki hai...

AL GHARZ BAAT KA KHULAASA YE H K IBNE ABI LAYELA "HASAN" DARJE K RAAWI HAI..

AUR UNKA HAFIZA MUTAGYYAR HONE KI WAJE SE MOHADDISIN NE UNPAR KALAM KIYA H..

LIKIN UNKA HAFIZA KHARAB HONE SE PAHELE BAYAN KI JANE WALI RIWAYAT "SAHI" HAIE..

AUR UNSE BAHOT SE SHAGIRDO NE QADIMAN (pahele) SIMA KIYA H..

JINME ALI IBNE MUSH,HIR BHI HAI 

AUR CHUKE IS TAWIZ WALI RIWAYAT ME BHI ALI IBNE MUSH,HIR HAI LEHAZA YE RIWAYAT BHI QAABIL E EHETEJAJ HAI

JAESA KE IMAM DAHABI, IMAM NAWVI, IMAM HAYETMI, IMAM IJLI, WAGHAERA NE WAZAHAT KI HAI...

"LEHAZA IS HADIS KO DAEEF KAHENA SAHI NAHI HAI"

POSTED BY
SHAHZADI-E-ISLAM

Comments

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi