QURBANI KA BAYAN

✳♻✳♻✳♻✳♻✳♻✳

           *_QURBANI KA BAYAN_*

✳♻✳♻✳♻✳♻✳♻✳

              *PART :- 01

_➡Hazrat Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Sunnat_

▶Qurbaani hazrat sayyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur *Nabi صلى الله تعالى عليه وسلم* ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya
ّفَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَر‌ْ
Tum apne *Rab* ke liye namaz padho aur qurbaani karo

📖(surah e kausar aayat no.2) 

➡HAADEES E KAREEMA

▶(1) ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh *Huzoor e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم* ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin aur oh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo
📒(Abu daaud / tirmizi / ibn e maajah) 

▶(2) hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh *huzoorصلى الله تعالى عليه وسلم* ne farmaya jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi
📒(tibraani) 

▶(3) hazrat abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riyawat hai keh *Huzoor  صلى الله تعالى عليه وسلم* ne irshad farmaya jo rupiya eid ke din qurbaani men kharch kiya gaya us se ziyadah koi rupiya piyara nahin
📒(tibraani) 

📚 *BOOK NAME - FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI*

♻ CONTINUE

➡POSTED BY

🌸S̺͆H̺͆A̺͆H̺͆Z̺͆A̺͆D̺͆I̺͆ E̺͆ I̺͆S̺͆L̺͆A̺͆M̺͆

-91 8439674033
https://m.facebook.com/Shahzadi-E-Islam-1653405101605145

https://youtu.be/duapoJYUg90
🔁SUBSCRIBE OUR CHENNEL

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 2❄*

_🍁Hazrat Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Sunnat🍁_

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

Hazrat e Abu Hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai k *Huzur-E-Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم* Ne farmaya jis Me Wus'at ho Aur Qurbani na kare woh hamari eid gaah ke Qareeb na aaye

📒(Ibn e Maajah)

Hazrat e Zaid Bin Arqam رضى الله تعالى عنه se Riwayat hai k Sahaba kiram ne Arz Ki Ya *Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم* Ye Qurbaaniya kya hai farmaya ke tumhare baap Ibraahim عليه السلام ki sunnat hai logo ne arz ki Ya *Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم* Hamare liye is men kya Sawab hai , Farmaya har baal ke Muqabil Neki hai , Arz ki aur Un ka kya hukm hai , farmaya k Unke har baal ke badle Me Neki hai

📒(Ibn e Maajah) 

Hazrat Barrah رضى الله تعالى عنه se Riwayat hai k *Nabi e kareem صلى الله تعالى عليه وسلم* Ne Irshad farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai k Namaz Padhenge aur Phir Qurbaani karenge

📒(Bukhari)

Hazrat e Barrah رضى الله تعالى عنه se Riwayat hai k *Huzur-E-Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم* Ne farmaya k Aaj ke din jo kaam hum ko Pahle karna hai woh Namaz hai aur is ke ba'd Qurbaani karna hai jis ne aisa kiya Woh hamari sunnat ko Pahuncha

📒(Imam Ahmad)

              *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 03❄*

         _🍁 MASAIL-E-FIQHIYA🍁_

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

   
*QURBAANI KI TA'REEF*

Makhsoos Janwar Ko Makhsoos Din Mein Ba Niyat E Taqarrub Zabah Karna Qurbani Hai..

📒(Bahar E Shari'at)

*QURBAANI KI QISMEN*

Qurbaani Ki Kayi Qismen Hain
        
        Gani Aur Faqeer Dono Par Wajib Hai Is Ki Soorat Ye Hai K Qurbani Ki Mannat Maani Ye Kaha K Allah Ke Liye Mujh Par Bakri Ya Gaaye Ki Qurbaani Karna Hai Ya Is Bakri Ya Gaay Ki Qurbani Karna Hai

📒(Bahar E Shari'at)

      Faqeer Par Wajib Ho Gani Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai Ke Faqeer Ne Qurbaani Ke Liye Janwar Khareeda Us Par Us Jaanwar Ki Qurbaani Wajib Hai Aur Agar Gani Khareedta To Uske Khareedne Se Qurbaani Us Par Wajib Na Hoti

📒(Bahar E Shari'at)

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 04❄*

         _🍁 MASAIL-E-FIQHIYA🍁_

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

    *QURBANI KI QISMEN*

Gani Par Wajib Ho Faqeer Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai K Qurbani Ka Wujoob Na Khareedne Se Ho Na Mannat Manne Se Bal k Khuda Ne Jo Use Zinda Rakha Hai Us Ke Shukriya Mein Aur Hazrat Ibraahim عليه السلام Ki Sunnat Ki Ihya Me Jo Qurbaani Wajib Hai Woh Sirf Gani Par Hai..

📒(Bahar E Shari'at)

  _MASLAH_:-  Musafir Pe Qurbaani Wajib Nahin Agar Musafir Ne Qurbaani Ki Tataww'u (Nafl) Hai.
📒(Bahar E Shari'at)

           *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 05❄*
         
        🍁_MASAIL-E-FIQHIYA_🍁

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

*QURBANI KI QISMEN*

_MASLA_ :- Faqeer Ne Agar Na Mannat Maani Ho Na Qurbaani Ki Niyat Se Janwar Khareeda Ho To Uska Qurbaani Karna Bhi Tataww'u (nafl) Hai..

📒(Bahar E Shari'at)

_MASLA_:- Bakri Ka Maalik Tha Aur Uski Qurbaani Ki Niyat Kar Li Ya Khareedne Ke Waqt Qurbaani Ki Niyat Na Thi baa'd mein Niyat Kar Li To Is Niyat Se Qurbaani Wajib Nahin Hogi

📒(Bahar E Shari'at
         

               

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 06❄*

_🍁Qurbani K Wajib Hone K Sharai't 🍁_

♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠
          
ISLAM Yani Gair Muslim Pe Qurbaani Wajib Nahi.

IQAAMAT Yani Muqeem Hona Musaafir Par Wajib Nahi.

TAWANGARI  Yani Maalik Nisaab Hona Yahan Maaldaari Se Murad Wahi Hai Jis Se Sadqa E Fitr Wajib Hota Hai Woh Murad Nahi Jis Se Zakat Wajib  Hoti Hai.

(Nisab Ki Tafseel Nisab Ke Bayan Mein Mulahaza Farmayen) 

HURRIYYAT  : - Yani Aazad Hona Jo Aazad Na Ho Us Pe Qurbaani Wajib Nahin Ke Ghulam Ke Paas  Maal Hi Nahi Lihaza Ibadat E Maaliya Us Pe Wajib Nahi.

📒(Bahar E Shari'at)            
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 07❄*

_🍁Qurbani K Wajib Hone K Sharai't 🍁_

♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠
       
           *FAEDAH*

Mard Hona Is Ke Liye Shart Nahi Auraton Par Wajib Hoti Hai Jis Tarah Mardon Par Wajib Hoti Hai Is Ke Liye Buloog Shart Hai Ya Nahi Is Mein Ikhtelaf Hai Aur Naabalig par wajib hai to Khud Uske Maal Se Qurbaani Ki Jaayegi Ya Uska Baap Apne Maal Se Qurbaani Karega.
Zaahirurriwayah Ye Hai K Na Khud Naabalig Par Wajib Hai Na Uski Taraf Se Uske Baap Par Wajib Hai Aur Isi Par Fatwa Hai.

📒(Bahar E Shari'at)

🔹MASLAH:- Musafir Par Agarcheh Wajib Nahi Magar Nafl Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai Sawab Paayega

📒(Bahar E Shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 08❄*

_🍁Qurbani K Wajib Hone K Sharai't 🍁_

♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠
       
           *MASLAH:-* Hajj Karne Wale Jo Musafir Ho Un Par Qurbaani Wajib Nahi Aur Muqeem Ho To Wajib Hai Jaise Makkah Ke Rahne Wale Hajj Karen To Chunke Ye Musafir Nahi Ya Jo Log Makkah Mu'azzamah Itne Din Pehle Pahunche Ke Mina Rawana Hone Mein 15 Ya Is Se Ziyadah Din Baaqi Hon Yeh Log Muqeem Hain Un Par Wajib Hogi.

*MASLAH:-* Sharait Ka Poore Waqt Mein Paaya Jaana Zaroori Nahi Balke Qurbaani Ke Liye Jo Waqt Muqarrar Hai Uske Kisi Hisse Me Sharaait Ka Paaya Jaana Wujoob Ke Liye Kaafi Hai.

📒 *(Bahar E Shari'at)*

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 09❄*

_🍁Qurbani K Wajib Hone K Sharai't 🍁_

♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠
        *MASLAH:-* Ek Shakhs Ibteda E Waqt e Qurbaani Mein Kafir Tha Phir Musalman Ho Gaya Aur Abhi Qurbaani Ka Waqt Baaqi Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai Jab Ke Dosre Sharaait Bhi Paaye Jaayen.

📒 *(Bahar E Shari'at)*

*MASLAH:-* Awwal Waqt Mein Musafir Tha Aur Asna E Waqt Mein Muqeem Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hogi.

📒 *(Bahar E Shari'at)*

*MASLAH:-* Faqeer Tha Aur Waqt ke Andar Maaldaar Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.

📒 *(Bahar E Shari'at)*
          
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 11❄*

_🍁Nisaab Ka bayan🍁_

♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠
       
MASLAH:- Maal Yahan Maujood Nahi Aur Ayyam E Qurbaani Guzarne Ke baa'd Woh Maal Use Mausool Hoga To Qurbaani Wajib Nahi.
📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Maalik E Nisaab Ne Qurbaani Ke Liye Bakri Khareedi Thi Woh Gum Ho Gayi Aur Us Shakhs Ka Maal Nisaab Se Kam Ho Gaya Ab Qurbaani Ka Din Aaya To Us Par Ya Zaroori Nahi Keh Dusra Jaanwar Khareed Kar Qurbaani Kare Aur Agar Woh Bakri Qurbaani Hi Ke Din Mil Gayi Aur Wo Shakhs Ab Bhi Maalik E Nisaab Nahi Hai To Us Par Us Bakri Ki Qurbaani Wajib Nahi.
📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Ek Makan Jaade Ke Liye Aur Ek Garmi Ke Liye Ye Haajat Mein Daakhil Hai In Ke Ilawah Us Ke Paas Teesra Makan Ho Jo Haajat Se Zaaid Hai Agar Ye 200 dirham (Saadhe 52 Taula Chaandi)  Ka Hai To Qurbaani Wajib Hai..

MASLAH:- Haajat Se Zaaid Makan Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Ko Pahunchti Ho To Qurbaani Wajib Hai Agarcheh Woh Makan Kiraya Par Chalata Ho Ya Khali Pada Ho...
📒(Fatawa Razviyyah  Jild  8 Safah 389)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 12❄*

_🍁Nisab ka Bayan 🍁_

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Makan E Sukunat Itna Bada Hai Ke Uska Ek Hissa Us Ke Jaade Garmi Ki Sukunat Ke Liye Kaafi Ho Aur Dusra Hissa Haajat Se Zaaid Ho Aur Uski Qeemat Tanha Ya Usi Qism Ke Maal Me Milkar Nisaab Tak Pahunche Jab Bhi Qurbaani Wajib hai..

📒(Fatawa Razviyyah  Jild 8  Safah 389)

MASLAH:- Garmi Jaade Ke Bichhone Haajat Me Daakhil  Hain Aur Teesra Bichhona Jo Haajat Se Zaaid Hai uska Aetebaar hoga.
📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Kisi Ke Paas 2 Car Hai Agar Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai Aur Dusri Zaaid Hai To Agar Dusri Ki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye Qurbaani Wajib Hai.

MASLAH:- 2 Motor Cycle Hai Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai To Dusri Wali Motor Cycle Haajat Se Zaaid Hai Aur Dusri Motor Cycle ki Qeemat Nisaab Ko Pahuch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai.

  
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 13❄*

_🍁Nisab  ka Bayan 🍁_

♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠
       
           MASLAH:-  Bartan Kuch Istemaal Ho Rahe Hain Aur Kuch Rakhe Huye Hai To Rakhe Huye  Bartan Zaaid Hai Uska Bhi Ietebaar Hoga.

MASLAH:- T.V.,   Video Camera Wagairah Haajat E Asliyyah Se Nahin Lihaza Agar Unki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai...

MASLAH:- Fridge , Washing Machine,  Mixer Machine Wagairah Haajat E Asliyyah Me Hai.

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 10❄*

       _🍁Nisaab Ka Bayan🍁_

♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠🗡♠
       
MASLAH:- Jo Shakhs 200 dirham (Saadhe 52 Taula Yani (612)  Gram Chaandi ) Ya 20 Deenaar (Saadhe 7 Taulah Yani Saadhe 87 Gram Sona)  Ka Maalik Ho Ya Haajat Ke Siwa Kisi Aisi Chiz Ka Maalik Ho Jis Ki Qeemat 200 Dirham (Saadhe 52 taula Chaandi)  Ho Woh Gani Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai.
📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Haajat E Asliyyah Se Muraad Rehne Ka Makan Aur Khana Daari Ke Saman Jinki Haajat Ho Aur Sawari Ka Janwar Khadim Aur Pahanne Ke Kapde In Ke Siwa Jo Chiz Ho Woh Haajat Se Zaaid Hai.
📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Us Shakhs Pe Dain (Qarz Wagairah) Hai Aur Uske Amwal Se Dain Ki Miqdaar Mujra Ki Jaaye To Nisaab Nahi Baaqi Rahti Us Par Qurbaani Wajib Nahi.
📒(Bahar E Shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 14❄*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

🔹MASLAH:- Ghar Me Pahanne Ke Kapde Aur Kaam Kaaj Ke Waqt Pahanne Ke Kapde Aur Juma O Eidain Aur Dusre Mauqo Par Pahen Kar Jaane Ke Kapde Ye Sab Haajat me Daakhil Hai Aur In 3 Ke Siwa Chautha Joda Agar 200 Dirham Ka Hai To Qurbani Wajib Hai..
📒(Bahar E Shari'at)

🔹MASLAH:- Kisi Ke Paas Kuch Zaaid Bartan Hai Magar Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaaid Kapde Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaaid Gaadi Wagairah Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchti Magar Ye Sab Zawaaid Mil Kar Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai.
 

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 15❄*

          _🍁Nisaab Ka Bayan🍁_

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Kisi Ke Paas Khet Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Tak Pahunchti Ho To Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.

📒(Maakhuz Az Fatawa Razviyyah  Jild  8 Safah 393/ Ahkam Shari'at )

MASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Mein Iska Ahal Na Tha Wujoob Ke Sharaait Nahi Paaye Jaate The Aur Aakhir Waqt Me Ahal Ho Gaya Yani Wujoob Ke Sharaait Paaye Gaye To Us Par Wajib Ho Gayi

📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Me Wajib Thi Aur Abhi Ki Nahi Aur Aakhir Waqt Me Sharaait Jaate Rahe To Wajib Na Rahi.

📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Ek Shakhs Faqeer Tha Magar Usne Qurbaani Kar Daali Uske Baa'd Abhi Waqt Qurbaani Ka Baaqi Tha Ke Gani (Maalik E Nisaab) Ho Gaya To Usko Fir Qurbani Karni Chahiyye K Pahle jo Ki thi Wajib Na Thi Aur Ab Wajib Hai

📒(Bahar E Shari'at)

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 16❄*

            _🍁NISAAB KA BAYAN🍁_

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

.MASLAH:- Agar Baawajood Maalik Nisaab Hone Ke Usne Qurbaani Na Ki Aur Waqt Khatm Hone Ke Baa'd Faqeer Ho Gaya To Us Par Bakri Ki Qeemat Ka Sadqa Karna Wajib Hai Yani Waqt Guzarne Ke Baa'd Saaqit Nahi Hogi

📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Ek Ghar Me Kayi Afraad Maalik E Nisaab Hai To Jitne Log Maalik E Nisaab Hai Sab Par Qurbaani Wajib Hai Ghar Ke Kisi Ek Fard Ki Qurbaani Hone Se Dusre Ka Wujoob Ada Na Hoga.
      

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 17❄*

          _🍁Nisaab Ka Bayan🍁_

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Kayi Afraad Me Maal Mushrtarak Hai To Agar Maal Shuraka Me Taqseem Karne Ke Baa'd Har Fard Ke Hissa Me Itna Maal Aata Ho Ke Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Sab Par Qurbaani Wajib Hai Aur Agar Har Ek Ka Hissa Nisaab Se Kam Ho To Kisi Par Wajib Nahi.

MASLAH:- Agar Maalik E Nisaab Bagair Qurbaani Kiye Huye Unhi Dino Me Mar Gaya To Uski Qurbaani Saaqit Ho Gayi.
📒(Bahar E Shari'at)

MASLAH:-  Qurbaani Ke Waqt Me Qurbaani Karna Hi Laazim  Hai Koi Dusri Chiz Uske Qaaim Maqam Nahi Ho Sakti Maslan Bajaaye Qurbaani Usne Bakri Ya Uski Qeemat Sadqa Kar Di Ye Nakaafi Hai.
📒(Bahar E Shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 18❄*

*●JO SAAHIB E ISTETA'AT NA HO USKI QURBAANI*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

HADEES
Hazrat E Abdullah Bin Umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya mujhe yaum e azha ka hukm diya gaya us din ko khuda ne is ummat ke liye eid banaya ek shakhs ne arz ki ya RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ye bataaiyen agar mere paas meenha ke siwa koi Jaanwar na ho to kiya uski Qurbaani kar dun ( menha us janwar ko kahte hain jo dosre ne use is liye diya hai keh kuchh dino uske doodh wagairah se faaidah uthaye aur phir maalik ko wapas kar de ) huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya nahi.

Haan tum apne baal aur naakhun tarashwaao aur muhye zer e naaf mundo is me tumhari Qurbaani khuda ke nazdeek poori ho jaayegi yani jisko Qurbaani ki taufeeq na ho to use in chizo ke karne se Qurbaani ka sawab haasil ho jaayega.
📒(Abu Daaud, Nasai)

             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 19❄*

*●BAAL O NAAKHUN KATWANE KA HUKM*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

Ummul Momineen Umm E Salama رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh Huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ni zilhijjah ka chaand dekh liya aur uska iraadah Qurbaani ka hai to jab tak Qurbaani na kar le baal o naakhuno se na le yani na tarashwaye.
📒(Muslim / Tirmizi / Nasai)

MASLAH:- Jis ko Qurbaani karne ka iradah ho us ke liye mustahab hai ke zilhijjah ka chaand dekhne ke baa'd naakhun baal wagairah na kaate.

MASLAH:- Agar kisi shakhs ne (31) din se kisi uzr ke sabab,  khwah bila uzr naakhun na tarashe hon,  khat banwaya na ho ke chaand zilhijjah ho gaya to agarcheh Qurbaani ka iradah rakhta ho is mustahab par amal nahin kar sakta ke ab daswen tak rakhega to naakhun o khat banwaye huye ektaaliswan (41) din ho jaayega aur 40 din se ziyadah na banwana gunaah hai
Fe'l e mustahab ke liye gunaah nahin kar sakta
📒(Fatawa Razviyyah  Jild 8  Safah 358)

MASLAH:- Jise dusre ya teesre din Qurbaani karni hai us ke liye behtar hai keh woh dusre ya teesre din Qurbaani ke baa'd naakhun o baal wagairah kaate.

MASLAH:- Eid ki namaz ke ba'd aur Qurbaani se pahle naakhun baal wagairah katwa liya to is men bhi harj nahin
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 20❄*

*●QURBAANI KA HUKM*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Qurbaani ka hukm ye hai keh us ke zimmah jo Qurbaani wajib hai kar lene se bariuzzimmah ho gaya .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- achhi niyyat se ki hai riya (dikhawa) wagairah ki mudakhalat nahin to allah ke fazl se ummeed hai keh aakhirat men uska sawab mile .

MASLAH:- ek se ziyadah  Qurbaani ki sab Qurbaaniyaan jaayez hain ek wajib baaqi nafl .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- agar ek poori gaaye Qurbaani ki to poori se wajib hi ada hoga ye nahin keh saatwa hissa hi wajib ho baaqi nafl .
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 21❄*

*●QURBAANI KI MANNAT KA BAYAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Qurbaani ki mannat sahih hai agar shart paayi gayi to Qurbaani karna wajib hai maslan kisi ne kaha mera fulaan kaam ho jaaye to main Qurbaani karunga aur oh kaam ho gaya to Qurbaani wajib hai .

MASLAH:- Qurbaani ki mannat maani aur ye mu'ayyan nahin kiya keh gaaye ki Qurbaani karega ya bakri ki to mannat sahih hai bakri ki Qurbaani kar dena kaafi hai .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- agar bakri ki Qurbaani ki mannat maani to oont ya gaaye  Qurbaani kar dene se bhi mannat poori ho jaayegi.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 22❄*

*●QURBAANI KI MANNAT KA BAYAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Mannat ki Qurbaani men se kuchh na khaye balkeh sara gosht wagairah sadqa kar de aur kuchh kha liya to jitna khaya uski qeemat sadqa kar de .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:-  Maalik e nisaab ne Qurbaani ki mannat maani to uske zimmah 2 Qurbaaniyaa wajib ho gayin ek oh jo gani par wajib hoti hai aur ek mannat ki wajah se .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- 2 yaa 2 se ziyaadah Qurbaaniyo ki mannat maani to jitni Qurbaaniyo ki mannat hai sab wajib hai .
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 23❄*

      *●QURBAANI KA WQAT*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

*HADEES :-* Hazrat E Barraa رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Nabi Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai keh namaz padhen phir is ke baa'd Qurbaani karenge, jis ne aisa kiya us ne hamari sunnat (tareeqa)  ko paa liya aur jis ne pahle zabah kiya woh gosht hai jo us ne pahle se apne ghar walon ke liye tayyaar kar liya Qurbaani se use kuchh ta'alluq nahin. Abu Burdah رضى الله تعالى عنه khade huye aur ye pahle hi zabah kar chuke the (is khayal se keh pados ke log gareeb the unhon ne chaha keh unko gosht mil jaaye ) aur arz ki ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم mere paas bakri ka 6 maah ka ek bachcha hai Faramya  tum use zabah kar lo aur tumhare siwa kisi ke liye 6 maaha bachcha kifayat nahi karega.
📒(Bukhari Sharif) 

*MASLAH:-* Qurbaani ka waqt daswen zilhijjah ke tulu e subh e saadiq se baarahwen ke gurub e aaftaab tak hai, yani 3 din 2 raaten.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 24❄*

      *●QURBAANI KA WQAT*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- daswen ke baa'd ki dono raaten ayyaam e nahar mem daakhil hain un men Qurbaani ho sakti hai magar raat mem Qurbaani karna makrooh hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- pahla din yani daswen tareekh sab men afzal hai phir giyarahwen aur pichhla din yani baarahwen sab se kam darjah hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- ayyaam e nahar men Qurbaani karna itni qeemat ke sadqa karne se afzal hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- wujoob ki soorat men bagair Qurbaani kiye uhda baraa nahin ho sakta .
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 25❄*

      *●QURBAANI KA WQAT*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- shahar men Qurbaani ki jaaye to shart ye hai keh namaz ho chuke lihaza namaz e eid se pahle shahar men Qurbaani nahin ho sakti .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- dehaat men chunkeh namaz e eid nahin hai yahan tulu e fajr ke baa'd se hi Qurbaani ho sakti hai .📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- dehaat men behtar ye hai keh baa'd e tulu e aaftaab Qurbaani ki jaaye .📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- shahar men behtar ye hai keh eid ka khutbah hone ke baa'd Qurbaani ki jaaye
.📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- namaz ho chuki hai aur abhi khutbah nahin hua hai is soorat men Qurbaani ho jaayegi magar aisa karna makrooh hai.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 26❄*

      *●QURBAANI KA WQAT*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- agar imam ne ek taraf salam pher liya hai dosri taraf baaqi tha keh us ne zabah kar diya Qurbaani ho gayi .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- ayyaam e nahar guzar gaye aur jis par Qurbaani wajib thi us ne nahin ki hai to Qurbaani faut ho gayi ab nahi ho sakti agar usne Qurbaani ka Jaanwar mu'ayyan kar rakha hai maslan mu'ayyan Jaanwar ke Qurbaani ki mannat maan li hai oh shakhs gani ho ya faqeer bahar soorat usi mu'ayyan Jaanwar ko zindah sadqa kare aur agar zabah kar daala to saara gosht sadqa kare us men se kuchh n
a khaye aur agar kuchh kha liya hai to jitna khaya hai uski qeemat sadqa kare aur agar zabah kiye huye Jaanwar ki qeemat zindah Jaanwar se kuchh kam hai jitni kami hai use bhi sadqa kare
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Faqeer ne Qurbaani  ki niyyat se Jaanwar khareeda aur Qurbaani ke din nikal gaye chunkeh us par bhi usi mu'ayyan Jaanwar ki Qurbaani wajib hai lihaza us Jaanwar ko zindah sadqa kar de
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:-ye zaroori nahin keh daswen hi ko Qurbaani kar daale Us ke liye gunjaaush hai keh poore waqt men jab chahe kare
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 27❄*

      *●QURBAANI KA WQAT*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- ye jo shahar aur dehaat ka farq batataya gaya hai ye maqam e Qurbaani ke lihaz se hai Qurbaani karne wale ke ietebaar se nahin yani dehaat men Qurbaani ho to oh waqt hai agarcheh Qurbaani karne wala shahar men hai .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- shahar men ho to namaz ke ba'ad ho agarcheh jis ki taraf se Qurbaani hai oh dehaat men ho .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- shahar men aadmi agar  ye chaahta hai keh subah hi namaz se pahle Qurbaani ho jaaye to Jaanwar dehaat men bhej de .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- agar shahar men muta'addad jagah eid ki aamaz hoti ho to pehli jagah namaz hone ke ba'd Qurbaani jaayez hai .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- imam abhi namaz hi men hai aur kisi ne Jaanwar zabah kar liya agarcheh imam qa'da men ho aur baqadr e tashahhud baith chuka ho magar abhi salam na phera ho to Qurbaani nahin hui ..
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 28❄*

*●QURBAANI KE JAANWAR KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

HADEES :- Ummul Momineen Hazrat e Aaisha Siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne hukm farmaya keh seengh wala mendha laaya jaaye jo siyahi men chalta ho aur siyahi men baithta ho aur siyahi men nazar karta ho yani uske paaun siyaah hon aur pet siyaah hon aur aankhen siyaah hon oh Qurbaani ke liye haazir kiya gaya Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Aaisha chhuri laao phir farmaya use paththar par tez kar lo phir huzur ne chhuri li aur mendhe ko litaaya aur use zabah kiya phir farmaya

بِسْمِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ  تَقَبَّلْ مِنْ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ وَ مِنْ اُمَّةِ مُحَمَّدٍ

Ilahi to isko Muhammad صلى الله تعالى عليه وسلم ki taraf se aur unki aal ki aur ummat ki taraf se qubool farma
📒(Muslim )

HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Mas'ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Qurbaani men gaaye 7 ki taraf se aur oont 7 ki taraf se hai
📒(Tibrani)

HADEES:- Hazrat Majaashe' Bin Mas'ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya bhed ka jaza'a ( 6 mahine ka bachcha ) saal bhar wali bakri ke qaaim maqam hai.
📒(Abu daaud o Nasai)

HADEES:- Hazrat e Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya 4 qism ke Jaanwar  Qurbaani ke liye durust nahin, kaana jiska kaanapan zaahir hai, aur beemaar jiski beemari zaahir ho, langda jiska lang zaahir hai, aur aisa laagar jiski haddiyion men magz na ho
📒(Imam Ahmad) 

HADEES :- Hazrat e Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne kaan kate huye seengh toote huye ki Qurbaani se mana farmaya
📒(Ibn e maajah / Imam Ahmad)

HADEES :- Hazrat e Ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Rasool e Akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya ke ham Jaanwaro ke kaan aur aankhen gaur se dekh len aur uski Qurbaani na kren jiske kaan ka agla hissa kata ho aur na uski jis ke kaan ka pichhla hissa kata ho na uski jiska kaan phata ho ya kaan men sooraakh ho
📒(Tirmizi / Abu daaud / Nasai)
             *→ Post Continue...*


💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 30❄*

*●QURBAANI KE JAANWAR KI UMAR KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

Qurbaani ke janwar ki umar ye honi chaiye

Oont 5 saal ka,  gaaye 2 saal ki,  bakri 1 saal ki , is umar se kam ho to Qurbaani  jaayez nahin ziyadah ho to jaayez balkeh afzal hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- dumbah ya bhed ka 6 maah ka bachcha agar itna bada ho keh door se dekhne men saal bhar ka maloom hota ho to uski Qurbaani jaayez hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- bakri ki qeemat aur gosht agar gaaye ke saatwen hissa ke barabar ho to bakri afzal hai aur gaaye ke saatwen hissa men bakri se ziyadah gosht ho to gaaye afzal hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- mendha bhed se aur dumbah dumbi se afzal hai jab keh dono ki qeemat ek ho aur dono men gosht barabar ho
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- bakri bakre se afzal hai magar khassi bak
ra bakri se afzal hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Oontni oont se aur gaaye bail se afzal hai jab keh gosht aur qeemat men barabar hon
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

*

🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 31❄*

*●QURBAANI KE JAANWAR MEN AIB KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Qurbaani ke Jaanwar ko aib se khaali hona chaahiye aur thoda sa aib ho to Qurbaani ho jaayegi magar makrooh hogi aur ziyadah aib ho to hogi hi nahin.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Jis ke paidaashi seengh na ho to uski Qurbaani jaayez hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH: Agar seengh thi magar toot gaya aur meng (jooda) tak toota hai to jaayez nahin is se kam toota hai to jaayez hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Jis Jaanwar men junoon (paagalpan) hai aur is hadd kya hai ke woh Jaanwar charta bhi nahin hai to uski Qurbaani naajaayaz hai aur is hadd ka nahin hai to jaayez hai.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 32❄*

*●QURBAANI KE JAANWAR MEN AIB KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Khassi yani jiske khusiye nikaal liye gaye ho ya majboob yani jis ke khusiye aur uzu e tanaasul sab kaat liye gaye hon unki Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Itna boodha ke bachcha ke qabil na raha ya daaga hua Jaanwar ya jiske doodh na utarta ho in sab ki Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- kharishi Jaanwar ki Qurbaani jaayez hai jab keh farbah (mota) ho
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Aur itna laagar (dubla) ho keh haddi men magz na raha to Qurbaani jaayez nahin .
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Bhenge Jaanwar ki Qurbaani jaayez hai.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 33❄*

*●QURBAANI KE JAANWAR MEN AIB KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Andhe Jaanwar ki Qurbaani jaayez nahin.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Kaana jiska kaanapan zaahir ho uski Qurbaani naajaayez hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Langda jo Qurbaangaah tak apne paaun se na jaa sake aur itna beemaar jiski baamaari zaahir ho aur jiske kaan ya dum ya chakki kate hon yani oh uzu tihaai se ziyadah kate hon un sab ki Qurbaani  naajaayez hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Agar kaan ya dum ya chakki tihaai ya is se kam kati ho to jaayez hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Jis Jaanwar ke paidaaishi kaan na ho ya 1 kaan na ho uski Qurbaani naajaayez hai.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 34❄*

*●QURBAANI KA TAREEQA*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

HADEES:- Hazrat e Jaabir رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Nabi Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne zabah ke din 2 mendhe seengh wale chitkabre khassi kiye huye zabah kiye jab unka munh qibla ko kiya ye padhen..

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ
وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Is ko padh kar zabah farmaya ek riwayat me hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne ye farmaya keh ilahi ye meri taraf se hai aur meri ummat men uski taraf se hai jis ne Qurbaani nahi ki.
📒(Abu daaud / Ibn e Maajah)
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 35❄*

*●QURBAANI KA TAREEQA*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

HADEES:- Hazrat Anas رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Nabi Kareemﷺ Ne 2 mendhe chitkabre sing walo ki Qurbaani ki unhen apne dast e mubarak se zabah kiya aur ..

بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر

Kaha,  kahte hain main ne Huzoor ﷺ ko dekha keh apna paaun un ke pahluon par rakha aur .

بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha
📒(Bukhari / Muslim)

MASLAH:- Ye shubah keh ek mendha un sab ki taraf se kiyon kar ho sakta hai ya jo log abhi paida hi na huye unki Qurbaani kiyon kar hui iska jawab ye hai keh ye Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke khasaais se hai jis tarah huzur ne 6 mahine ki bakri ke bachchah ki Qurbaani Abu Burdah رضى الله تعالى عنه ke liye jaayez farma di auron ke liye uski mumana'at kar di isi tarah is men khud Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ki khususiyyat hai.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*



💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 36❄*

*●QURBAANI KA TAREEQA*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Qurbaani ka tareeqa ye hai keh Jaanwar un sharaait ke muwafiq hon jo mazkoor hui yani jo us ki umr baatai gayai us se kam na ho aur un aib se paak ho jinki wajah se Qurbaani najaiz hoti hai aur behtar ye keh umdah o farbah ho Qurbaani se pahle use chaarah paani de den yani bhooka piyasa zabah na karen aur ek ke saamne dosre ko zabah na karen aur pahle se chhuri tez kar len aisa na ho keh Jaanwar girane ke baa'd uske saamne chhuri tez ki jaaye Jaanwar ko baayen pahlu par is tarah litaayen keh qiblah ko uska munh ho aur apna daahina paaun uske pahlu par rakh kar tez chhuri se jald zabah kar diya jaaye aur zabah se pahle ye dua padhi jaaye ..

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ

 وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین 

 إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر 

Ise padh kar zabah kar de Qurbaani apni taraf se ho to zabah ke ba'd ye dua padhe ..

اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّىْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيْلِكَ اِبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِ السَّلَام وَ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللّٰه تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ  

Is tarah zabah kare keh chaaro ragen kat jaayen ya kam se kam 3 ragen kat jaayen is se ziyadah na kaaten keh chhuri gardan ke muhra tak pahunch jaaye keh ye be wajah ki takleef hai phir jab tak Jaanwar  thanda na ho jaaye yani jab tak uski rooh bilkul na nikal jaaye uske paaun wagairah na kaate na khaal utaare aur agar dosre ki taraf se zabah karna hai to  مِنِّىْ ki jagah مِن Ke baa'd uska name le aur agar woh mushtarak Jaanwar hai jaise gaaye,  oont to wazan se gosht taqseem kiya jaaye mahaz takhmeena (andazah) se taqseem na karen

📒(Bahar e shari'at) 
             *→ Post Continue...*

💢🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 37❄*

*●QURBAANI KA TAREEQA*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Qurbaani karne wala baqra'eed ke din  sab se pahle Qurbaani ka gosht khaye is pahle koi dosri chiz na khaye ye mustahab hai 

📒(Bahar e shari'at) 

FAAIDAH:- Ahadees se saabit hai ke Saiyyid e Aalam صلى الله تعالى عليه وسلم ne is ummat e marhooma ki taraf se Qurbaani ki ye Huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ke be shumaar altaaf men se ek khaas karam hai ke is mouqe par bhi ummat ka khayaal farmaya aur jo log Qurbaani na kar sake unki taraf se khud hi Qurbaani ada farmaai jab Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne ummat ki taraf se khud Qurbaani ki to jo musa lman saahib e isteta'at ho agar Huzoor e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke naam ki ek Qurbaani kare to zahe naseeb aur behtar seengh wala mendha hai jis ki siyaahi men safaidi ki bhi aamezish ho jaise mendhe ke khud Huzoor Akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne Qurbaani farmaai. 

📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

🍃💢🍃🍃💢🍃🍃💢🍃💢

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 38❄*

*●DOSRE KI TARAF SE QURBAANI KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- Qurbaani men niyabat ho sakti hai yani khud karna zaroorai nahi balkeh dosre ko ijazat dede usne kar di ye ho sakta hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Baalig ladko ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chahta hai to unse ijazat haasil kare bagair unke kahe agr kardi to unke taraf se wajib ada na hua.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Nabaalig ki taraf se agarche wajib nahi magar kardena behtar hai.
📒(Bahar e shari'at)

Is soorat men Nabaalig bachcho se ijazat ki zaroorat nahi.

MASLAH:- Apni taraf se aur apne bachcho ki taraf se gaaye ki Qurbaani ki agar oh nabaalig hai to sab Qurbaaniyan jaiz hain aur baalig hai aur sab ladkon ne kah diya hai to sab ki taraf se sahi hai aur agar unhon ne kaha nahi ya ba'z ne nahin kaha to kisi ki Qurbaani nahi hui.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Kisi shakhs ne wasiyat ki ke uski taraf se Qurbaani kar di jaaye aur ye nahi bataya ke gaaye ya bakri kis Jaanwar ki Qurbaani ki jaaye aur na qeemat bayan ki ke istne ka Jaanwar khareed kar Qurbaani ki jaaye ye wasiyyat jaiz hai aur bakri Qurbaan kar dene se wasiyat poori ho gayi.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Agar kisi ko wakeel kiya ke meri taraf se Qurbaani kar dena aur gaaye ya bakri ka ta'ayyun na kiya qeemat bhi bayan nahin ki to ye taukeel sahi nahi.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*


           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 39❄*

*●DUSRE KI TARAF SE QURBAANI KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

MASLAH:- 7 shakhso ne 5 gaayo ki Qurbaani ki ye jaiz hai ke har gaaye men har shakhs ka saatwa hissa hua.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Gaaye ke shuraka me se ek kaafir hai ya un men se ek shakhs ka maqsad Qurbaani nahi balkeh gosht haasil karna hai to kisi ki Qurbaani nahi hui.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Qurbaani ke sab shuraka ki niyyat taqarrub ho iska ye matlab hai ke kisi ka irada  gosht na ho aur ye zaroori nahi ke woh taqarrub ek hi qism ka ho maslan sab Qurbaani hi karna chaahte hain balke agar mukhtalif qism ke taqarrub hon oh taqarrub sab par wajib ho ya kisi par wajib ho aur kisi par wajib na ho har soorat men Qurbaani jaiz hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Qurbaani aur aqeeqah ki bhi shirkat ho sakti hai ke aqeeqah bhi taqarrub ki ek soorat hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Shuraka men koi devbandi wahabi aur gair muqallid wagairah hai to kisi ki Qurbaani  na hui.
             *→ Post Continue...*

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 40❄*

*●QURBAANI MEN SHIRKAT KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

HADEES:- Hazrat Abdullah Bin Mas'ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Qurbaani men gaaye 7 ki taraf se aur oont 7 ki taraf se hai
📒(Tibrani)

MASLAH:- Jab Qurbaani ke sharaait e mazkoorah paaye jaayen to bakri ka zabah karna ya oont ya gaaye ka saatwa hissa wajib hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Saatwen hissa se kam nahi ho sakta balke oont ya gaaye ke shuraka men agar kisi shareek ka saatwen hissa se kam hai to kisi ki Qurbaani nahi hui yani jiska saatwa hissa ya us se ziyadah ho uski bhi Qurbaani nahi hui.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Gaaye ya oont men saatwen hissa se zyada ki Qurbaani ho sakti hai maslan gaaye ko 6 ya 5 ya 4 shakhso ki taraf se Qurbaani karen ho sakta hai aur ye zaroori nahin ke sab shuraka ke hisse barabar hon balkeh kam o besh bhi ho sakte hain, haan ye zaroor hai ke jiska hissa kam hai wo saatwen hissa se kam na ho
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- 7 shakhso ne 5 gaayo ki Qurbaani ki ye jaiz hai ke har gaaye men har shakhs ka saatwa hissa hua.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Gaaye ke shuraka me se ek kaafir hai ya un men se ek shakhs ka maqsad Qurbaani nahi balkeh gosh haasil karna hai to kisi ki Qurbaani nahi hui.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Qurbaani ke sab shuraka ki niyyat taqarrub ho iska ye matlab hai ke kisi ka irada  gosht na ho aur ye zaroori nahi ke wo taqarrub ek hi qism ka ho maslan sab Qurbaani hi karna chaahte hain balke agar mukhtalif qism ke taqarrub hon wo taqarrub sab par wajib ho ya kisi par wajib ho aur kisi par wajib na ho har soorat men Qurbaani jaiz hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Qurbaani aur aqeeqah ki bhi shirkat ho sakti hai ke aqeeqah bhi taqarrub ki ek soorat hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Shuraka men koi devbandi wahabi aur gair muqallid wagairah hai to kisi ki Qurbaani  na hui.
             *→ Post Continue...*


           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 41❄*

*●ZABAH KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

Allah ﷻ farmata hai :

حُرِّمَتْ عَلَیْكُمُ الْمَیْتَۃُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِیرِ وَمَا أُہِلَّ لِغَیْرِ اللَّہِ بِہِ وَالْمُنْخَنِقَۃُ وَالْمَوْقُوذَۃُ وَالْمُتَرَدِّیَۃُ وَالنَّطِیحَۃُ وَمَا أَكَلَ السَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّیْتُمْ وَمَا ذُبِحَ عَلَى النُّصُبِ وَأَن تَسْتَقْسِمُوا بِالْأَزْلَامِ ۚ ذَٰلِكُمْ فِسْقٌ ۗ

Tum par haraam hai murdaar aur khoon aur suwwar ka gosht aur jis ke zabah me gair e khuda ka naam pukara gaya aur jo gala ghontne se mar jaaye aur dab kar mara hua yani bedhaar ki chiz se maara hua aur jo gir kar mara ho aur jisko kisi Jaanwar ne sing maara ho aur jis ko darindah ne kuchh khaa liya ho magar oh jinhen tum zabah kar lo aur jo kisi thaan par zabah kiya gaya ho aur teero se taqdeer ko maloom karna ye gunaah ka kaam hai.

📖(Surah 5   سُورَۃُ الْمَآىِٕدَة | Ayah 3)

وَلَا تَأْكُلُوا مِمَّا لَمْ یُذْكَرِ اسْمُ اللَّہِ عَلَیْہِ وَإِنَّہُ لَفِسْقٌ ۗ

Aur use na khaao jis pe Allah ka naam nahi liya gaya aur woh beshak hukm udooli hai.
📖(Surah 6   سُورَۃُ الْاَنْعَام | Ayah 121)
             *→ Post Continue...*


           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 42❄*

*●ZABAH KA BAYAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

*●AHAADEES*

HADEES :- Hazrat e Abdullah Bin Abbas o Abu Hurairah رضى الله تعالى عنهم  se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne شريطة الشيطن se mumana'at farmaayi ye woh zabeeha hai jiski khaal kaati jaaye aur ragen na kaati jaayen aur chhod diya jaaye yahan tak keh mar jaaye.
📒(Abu daaud)

HADEES :- Ummul Momineen Hazrat e Aaishah Siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh logo ne arz ki Ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم yahan kuchh log abhi naye musalman huye hain woh hamare paas gosht laaye hain hume maloom nahi ke Allah ka naam unhon ne zikr kiya hai ya nahi , farmaya ke bismillah kaho aur khaao yani muslim ke zabeeha men is qism ke ihtemalaat na kiye jaaye.
📒(Bukhari) 

HADEES :- Shaddad Bin Aus رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ke RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya keh Allah tabarak o ta'ala ne har chiz men khoobi karna likh diya hai, , lihaza qatl karo to us men bhi khoobi ka lihaz rakho (yani be sabab usko eeza mat pahunchaao)
Aur zabah karo to zabah me khoobi karo aur apni chhuri ko tez kar lo aur zabeeha ko takleef na pahunchaao.
📒(Muslim)
             *→ Post Continue...*

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 43❄*

*●ZABAH KA BAYAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

*●MASAAIL E FIQHIYYAH*

MASLAH:- Gale men chand ragen hain inko kaatne ko "zabah" kahte hain aur us Jaanwar ko jiski oh ragen kaati gayi " zabeeha" aur "zibah" kahte hain  yahan zaal ko zer hai aur pahli jagah zabar hai
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Baa'z Jaanwar zabah kiye jaate hain ba'z nahin jo shar'an zabah nahin kiye jaa sakte hain un men ye do machhli aur tiddi bagair zabah kiye halaal hai.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Zibah ki jagah halaq aur lubbah ke maabain (darmiyan)  hai lubbah seene ke baalaai hissa ko kahte hain
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Awam men ye mashhoor hai keh oont ko 3 jagah zabah kiya jaata hai galat hai aur yun karna makrooh hai keh bila faaidah eeza dena hai
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*

           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 44❄*

*●ZABAH KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

*●MASAAIL E FIQHIYYAH*

MASLAH:- Jo ragen zabah men kaati jaati hain woh 4 hain.

1) hulqoom ye woh hai jis men saans aati jati hai
2) muri is se khana paani utarta hai
3/4) in dono ke agal bagal aur 2 ragen hain jin men khoon ki rawani hai unko "wadjain" kahte hain.
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Poora hulqoom zabah ki jagah hai yani uske a'ala ausat asfal jis jagah men zabah kiya jaaye halaal hoga
📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Aaj kal chunkeh chamde ka narkh (qeemat) ziyadah hai aur ye wazan ya naap se farokht hota hai is liye qassab iski koshish karte hain keh kisi tarah chamde ki miqdar badh jaaye aur is ke liye ye tarkeeb
karte hain keh bahut upar se zabah karte hain aur is soorat men aisa bhi ho sakta hai keh zibah fauqul uqdah ho jaaye aur is men ulama ko ikhtelaf hai keh Jaanwar halaal hoga keh nahin is baab men qaul e faisal ye hai keh zibah fauqul uqdah men agar 3 ragen kat jaayen to Jaanwar halaal hai wrna nahi.
📒(Bahar e shari'at)
             *→ Post Continue...*


           *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 45❄*

*●ZABAH KA BAYAAN*

♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

*●MASAAIL E FIQHIYYAH*
MASLAH:- Ulama ka ikhtelaf aur ragon ke katne men ihtemaal dekhte huye ihteyaat zaroori hai keh ye mu'aamala hillat o hurmat ka hai aur aise maqam par ihteyaat laazim hoti hai

📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Zibah ki 4 ragon men se 3 ka kat jaana kaafi hai yani is soorat men bhi Jaanwar halaal ho jaayega.

📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Agar chaaro men se har ek ka aksar hissa kat jaayega jab bhi halaal ho jaayega.

📒(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Aadhi aadhi har rag kat gayi aur aadhi baki hai to halaal nahi.

📒(Bahar e shari'at)

             *→ Post Continue...*

          *_QURBANI KA BAYAN_*

              *❄PART :- 46❄*
     
          *🍁ZAROORI INTEBAAH🍁*
♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠🔪♠

Qurbaani men aksar aisa hota hai keh zabah karne wala Jaanwar ke gale pe chhuri phiraata hai aur sirf chamdi kat ti hai keh qassaab chhuri le kar khud zabah karne lagta hai to is soorat men bhi 3 ragon ka bilkul katna ya chaaro rago ka aksar hissa kat jaana zaroori hai,  agar 3 ragen mukammal na kati ya chaaro ragon ka aksar hissa na kata aur Jaanwar tadap tadap kar mar gaya to oh Jaanwar bhi haraam hai aur Qurbaani bhi nahin hui, ,is masla se bahut se log gaafil hain.

✳TAMBEEH

baa'z murgi wagirah ki dukan men dekha gaya keh qassaab waqt e zabah murgi ke gale pe chhuri phiraate hain sirf chamdi hi kati hoti hai sab ragen nahin kati hoti keh kisi darum wagairah men daal dete hain taakeh rooh nikal jaaye,  to agar 3 rag mukammal katne se pahle ya chaaro rago ka aksar hissa katne se pahle aisa kiya aur murgi tadap tadap kar mar gayi to oh murgi Haraam hai.

✳TAMBEEH

baa'z logo men ye mashhoor hai keh bakra dedh salla yani gale par dedh martaba chhuri phirane men hi zabah ho jaana chahiye is ki bhi koi asl nahi yunhi gaaye bail wagiarah ke gale pe dhaai salla yani dhaai martaba chhuri phirane men hi zabah ho jaana chahiye iski bhi koi asl nahi balke agar dedh martaba bakri ke gale pe aur dhaai martaba bail ke gale pe chhuri phiraaya aur 3 ragen mukammal nahin kati ya chaaro ragon ka aksar hissa nahin kata aur Jaanwar tadap tadap ke mar gaya oh Jaanwar bhi haraam hai aur Qurbaani bhi nahin hui balke chaaro ragon ke kaatne ka hukm hai to ye chaaro ragen jitni martaba chhuri phirane se kate kaatna zaroori hai agar 1 hi martaba phirane men chaaro ragen kat jaayen halaal hai ya 10 martaba phirane men kate har haal men charo ragon ka katna zaroori hai

             *→ Post Continue...*

Comments

Popular posts from this blog

SAWAL JAWAB SECTION

NAJASAT KA BAYAN.

Link Of Pdf Sunni Hanfi